Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Naat Lyrics

Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Naat Lyrics

 

Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Konain Mein Hai Shohrat Milaad-E-Mustafa Ki
Bajti Hai Jug Mein Nobat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Maah-E-Rabi-Ul-Awwal Mauqa Hai Iss Khushi Ka
Behtar Ho Iss Mein Kasrat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Farsh-E-Zameen Se Leykar Arsh-E-A’zeem Tak Hai
Ye Saari Khair-O-Barkat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Iblis Ke Jigar Per Chaltay Issiyare Iss Per Giraan Hai
Shirkat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Ta’zeem Ko Uthay Ab Yaaran-E-Anjum Sab
Aayei Qareeb Sa’at Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Shukr-E-Khuda Ada Kar Dil Se Habib Har Dum
Jisnay Ye Dei Hai Ne’mat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,516 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,533 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,270 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,179 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,072 views

Leave a Comment