Meri barbaad basti ko basa do, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Kinaray par meri kashti laga do, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Merey tareek dil par nuur ki basaat ho ja-ay
Merey qalb a syaah ko jagmaga do, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ghira huun marz e issiyaan mayn gariftar e masa-ib houn
Mujhay iss kaid say li Llah bacha do, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Mera maskan Madina ho mera madfan Madina ho
Mera seena Madina hi bana do, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
yeh ankheyn aap key deedar ki talib hai muddat say
ruhay pur nuur say pardah hata do, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
