Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein Naat Lyrics

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein Naat Lyrics
Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein
Karunga main mukammal apna waada tere raste mein

Ye duniya chhor di hamne teri khatir mere maula
Ye chahat hai ke mil jaye sukoon ab tere raste mein

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein
Karunga main mukammal apna waada tere raste mein

Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula

Mere maula tera hi deen is duniya mein phailega
Main apni jaan jab qurban karunga tere raste mein

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein
Karunga main mukammal apna waada tere raste mein

Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula

Hai meri manzilen maqsood teri jannat-ul-firdaus
Ke gham aur sakhtiyon ko maine jhela tere raste mein

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein
Karunga main mukammal apna waada tere raste mein

Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula

Ata kar tu hamein wo jazba-o-himmat ke kat jaye
Jo haayel hai har ek dariya-o-sahra tere raste mein

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein
Karunga main mukammal apna waada tere raste mein

Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula

Rahi khwahish sada meri ke ab hasil shahadat ho
Ye meri jaan hai hazir ae maula tere raste mein

Mere maula teri rahmat se nikla tere raste mein
Karunga main mukammal apna waada tere raste mein

Mere maula, mere maula
Mere maula, mere maula

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,764 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,633 views

Leave a Comment