Mere Dil Mein Yaad E Muhammad Naat Lyrics

मेरे दिल में है याद-ए-मुहम्मद मेरे होंटों पे ज़िक्र-ए-मदीना / Mere Dil Mein Hai Yaad-e-Muhammad Mere Honton Pe Zikr-e-Madina

 

मेरे दिल में है याद-ए-मुहम्मद, मेरे होंटों पे ज़िक्र-ए-मदीना
ताजदार-ए-हरम के करम से आ गया ज़िंदगी का क़रीना

दिल शिकस्ता है मेरा तो क्या ग़म, इस में रहते हैं शाह-ए-दो-‘आलम
जब से मेहमाँ हुए हैं वो दिल में, दिल मेरा बन गया है मदीना

मैं ग़ुलाम-ए-ग़ुलामान-ए-अहमद, मैं सग-ए-आस्तान-ए-मुहम्मद
क़ाबिल-ए-फ़ख़्र है मौत मेरी, क़ाबिल-ए-रश्क है मेरा जीना

हर ख़ता पर मेरी चश्म-पोशी, हर तलब पर ‘अताओं की बारिश
मुझ गुनहगार पर किस-क़दर हैं मेहरबाँ ताजदार-ए-मदीना

मुझ को तूफ़ाँ की मौजों का क्या डर, वो गुज़र जाएगा रुख़ बदल कर
ना-ख़ुदा हैं मेरे जब मुहम्मद, कैसे डूबेगा मेरा सफ़ीना

चल मदीने को चल, ग़म के मारे ! ज़िंदगी को मिलेंगे सहारे
आ गया है हरम से बुलावा, कूच करते हैं सू-ए-मदीना

उन के चश्म-ए-करम की ‘अता है, मेरे सीने में उन की ज़िया है
याद-ए-सुल्तान-ए-तयबा के सदक़े मेरा सीना है मिस्ल-ए-नगीना

दौलत-ए-‘इश्क़ से दिल ग़नी है, मेरी क़िस्मत है रश्क-ए-सिकंदर
मिदहत-ए-मुस्तफ़ा की बदौलत मिल गया है मुझे ये ख़ज़ीना

शायर:
सिकंदर लखनवी

ना’त-ख़्वाँ:
ख़ुर्शीद अहमद
ओवैस रज़ा क़ादरी
मदनी रज़ा अत्तारी

 

Mere Dil Mein Yaad E Muhammad Naat Lyrics

 

Mere Dil Men Hai Yaad-E-Muhammad
Mere Honton Pe Zikr-E-Madina
Taajdaar-E-Haram Ke Karam Se
Aa Gaya Zindagi Ka Qareena

Dil Shikasta Hai Mera To Kya Gam
Is Men Rehte Hain Shaah-E-Do-‘Aalam
Jab Se Mehman Hue Hain Wo Dil Men
Dil Mera Ban Gaya Hai Madina

Main Gulaam-E-Gulaamaan-E-Ahmad
Main Sag-E-Aastaan-E-Muhammad
Qaabil-E-Fakhr Hai Maut Meri
Qaabil-E-Rashk Hai Mera Jeena

Har Khata Par Meri Chashm-Poshi
Har Talab Par ‘Ataaon Ki Baarish
Mujh Gunahgaar Par Kis-Qadar Hain
Mehrban Taajdaar-E-Madina

Mujh Ko Toofaan Ki Maujon Ka Kya Dar
Wo Guzar Jaaega Rukh Badal Kar
Naa-Khuda Hain Mere Jab Muhammad
Kaise Doobega Mera Safeena

Chal Madine Ko Chal, Gam Ke Maare !
Zindagi Ko Milenge Sahaare
Aa Gaya Hai Haram Se Bulaawa
Kooch Karte Hain Soo-E-Madina

Un Ke Chashm-E-Karam Ki ‘Ata Hai
Mere Seene Men Un Ki Ziya Hai
Yaad-E-Sultaan-E-Tayba Ke Sadqe
Mera Seena Hai Misl-E-Nageena

Daulat-E-‘Ishq Se Dil Gani Hai
Meri Qismat Hai Rashk-E-Sikandar
Midhat-E-Mustafa Ki Badaulat
Mil Gaya Hai Mujhe Ye Khazeena

Poet:
Sikandar Lakhnavi

Naat-Khwaan:
Khursheed Ahmad
Owais Raza Qadri
Madani Raza Attari

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...78 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...62 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...58 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...40 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...34 views

Leave a Comment