Mera Gada Mera Mangta Mera Ghulam Aye Lyrics

मेरा गदा मेरा मँगता मेरा ग़ुलाम आए / Mera Gada Mera Mangta Mera Ghulaam Aae
मेरा गदा, मेरा मँगता, मेरा ग़ुलाम आए
ख़ुदा करे, कभी तयबा से ये पयाम आए

दुरूद-ए-सय्यिद-ए-कौनैन के वसीले से
मेरी ज़ुबान पे, आक़ा ! तेरा ही नाम आए

मैं इस यक़ीन से आया हूँ उन के रौज़े से
वो फिर कहेंगे कि वापस मेरा ग़ुलाम आए

मैं देखता ही रहूँ बस तुम्हारे रौज़े को
जनाब-ए-ज़हरा के सदक़े में ऐसी शाम आए

ग़ुलाम-ए-ज़हरा हूँ, मैं तो ‘अली का नौकर हूँ
हमेशा पंज-तनी निस्बत ही मेरे काम आए

हसन हुसैन का देता हूँ वास्ता उन को
फ़क़ीर-ए-आल-ए-मुहम्मद में मेरा नाम आए

हसन हुसैन का देता है वास्ता मिस्कीं
फ़क़ीर-ए-आल-ए-मुहम्मद में मेरा नाम आए

ना’त-ख़्वाँ:
ज़ोहैब अशरफ़ी
राओ हस्सान अली असद
उमैर ज़ुबैर

 

mera gada, mera mangta, mera Gulaam aae
KHuda kare, kabhi tayba se ye payaam aae

durood-e-sayyid-e-kaunain ke waseele se
meri zubaan pe, aaqa ! tera hi naam aae

mai.n is yaqeen se aaya hu.n un ke rauze se
wo phir kahenge ki waapas mera Gulaam aae

mai.n dekhta hi rahu.n bas tumhaare rauze ko
janaab-e-zahra ke sadqe me.n aisi shaam aae

Gulaam-e-zahra hu.n, mai.n to ‘ali ka naukar hu.n
hamesha panj-tani nisbat hi mere kaam aae

hasan husain ka deta hu.n waasta un ko
faqeer-e-aal-e-muhammad me.n mera naam aae

hasan husain ka deta hai waasta Miskee.n
faqeer-e-aal-e-muhammad me.n mera naam aae

Naat-Khwaan:
Zohaib Ashrafi
Rao Hassan Ali Asad
Umair Zubair

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...298 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...172 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...147 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...143 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...137 views

Leave a Comment