MAIN MUDDAT SE IS AAS PAR JI RAHI HOON NAAT LYRICS

MAIN MUDDAT SE IS AAS PAR JI RAHI HOON NAAT LYRICS

 

Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Kabhi To Sunega Duaen Wo Meri
Kabhi To Sunega Sadaen Wo Meri

Jo Logon Say Sun Sun Kay Nakhse Hain Khenche
Haqiqat May Honge Manazir Wo Kaise
Kabhi Jake Dekhon Khud Aankhon Se Apni
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hon

Khuda Ne Utara Jishe Asman Se
Kiya Nasb Tha Jisko Paighambaron Ne
Ushi Hajre Aswad Ka Bosa Me Lelon
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hon

Mere Samne Ho Wo Qabe Ki Cokhat
Wo Rukne Yahmani Wo Mizabe Rehmat
Me Sehne Haram Me Karon Jake Sajde
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hon

Wo Shehre Haram Wo Madine Ki Galiyan
Wo Arafat Ka Din Minah Ki Wo Ratain
Muyasar Kabhi Hon Hame Sare Jalwe
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hon

Mere Samne Ho Wo Gunbade Khizran
Wo Roze Ki Jaali Wo Jannath Ka Gosha
Kabhi Chuom Lon Jake Khake Madina
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hon

Nehi Hay Bharosa Koi Zindegi Ka
Ushi Ko Khabar Hay Wohi Janta Hay
Bulalega Hamko Wo Marne Se Pehle
Bulalijiye Mujhko Marne Se Pehle

Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hon
Khuda Kab Bulalain Mujhe Apne Ghar Me
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hoon…

Submit by Mahir

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment