MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS

मदीने का सफ़र है और मैं नम-दीदा नम-दीदा / Madine Ka Safar Hai Main Nam-deeda Nam-deeda
मदीने का सफ़र है और मैं नम-दीदा नम-दीदा
ज़बीं अफ़सुर्दा अफ़सुर्दा, क़दम लग़्ज़ीदा लग़्ज़ीदा

चला हूँ एक मुजरिम की तरह मैं जानिब-ए-तयबा
नज़र शर्मिंदा शर्मिंदा, बदन लर्ज़ीदा लर्ज़ीदा

किसी के हाथ ने मुझ को सहारा दे दिया वर्ना
कहाँ मैं और कहाँ ये रास्ते पेचीदा पेचीदा

ग़ुलामान-ए-मुहम्मद दूर से पहचाने जाते हैं
दिल गिरवीदा गिरवीदा, सर शोरीदा शोरीदा

कहाँ मैं और कहाँ उस रौज़-ए-अक़्दस का नज़्ज़ारा
नज़र उस सम्त उठती है मगर दुज़्दीदा दुज़्दीदा

मदीने जा के हम समझे तक़द्दुस किस को कहते हैं
हवा पाकीज़ा पाकीज़ा, फ़ज़ा संजीदा संजीदा

बसारत खो गई लेकिन बसीरत तो सलामत है
मदीना हम ने देखा है मगर नादीदा नादीदा

वही इक़बाल जिस को नाज़ था कल ख़ुश-मिज़ाजी पर
फ़िराक़-ए-तयबा में रहता है अब रंजीदा रंजीदा


शायर:
सय्यिद इक़बाल अज़ीम

ना’त-ख़्वाँ:
सिद्दीक़ इस्माइल
ओवैस रज़ा क़ादरी
अब्दुल हबीब अत्तारी

 


madine ka safar hai aur mai.n nam-deeda nam-deeda
zabee.n afsurda afsurda, qadam laGzeeda laGzeeda

chala hu.n ek mujrim ki tarah mai.n jaanib-e-tayba
nazar sharminda sharminda, badan larzeeda larzeeda

kisi ke haath ne mujh ko sahaara de diya warna
kahaa.n mai.n aur kahaa.n ye raaste pecheeda pecheeda

Gulaamaan-e-muhammad door se pehchaane jaate hai.n
dil girveeda girveeda, sar shoreeda shoreeda

kahaa.n mai.n aur kahaa.n us rauz-e-aqdas ka nazzaara
nazar us samt uThti hai magar duzdeeda duzdeeda

madine jaa ke ham samjhe taqaddus kis ko kehte hai.n
hawa paakeeza paakeeza, faza sanjeeda sanjeeda

basaarat kho gai lekin baseerat to salaamat hai
madina ham ne dekha hai magar naadeeda naadeeda

wahi Iqbal jis ko naaz tha kal KHush-mizaaji par
firaaq-e-tayba me.n rehta hai ab ranjeeda ranjeeda


Poet:
Sayed Iqbal Azeem

Naat-Khwaan:
Siddiq Ismail
Owais Raza Qadri
Abdul Habib Attari

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,285 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...844 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...499 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...426 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...398 views

Leave a Comment