LAHAD MEIN ISHQ-E-RUKH-E-SHAH KAA DAAGH LEY KEY CHALE NAAT LYRICS

LAHAD MEIN ISHQ-E-RUKH-E-SHAH KAA DAAGH LEY KEY CHALE NAAT LYRICS

 

Lahad mein ishq-e-rukh-e-shah kaa daagh ley key chale,
Andheri raat suni thi charaagh ley key chale.

Tere gulaamon ka naqsh-e-qadam hay raah-e-Khuda,
Woh kyaa behek sakey jo yeh suraagh ley key chale.

Jinaan banegi muhibbaan-e-chaar yaar ki qabr,
Jo apne seene mein ye chaar baagh le key chale.

Gaye, ziyaarat-e-dar ki, sad aah waapas aaye,
Nazar key ashk piche dil ka daagh le key chale,

Madeene jaan-e-jinaan-o-jahaa(n) hay wo sun lein,
Jinhein junoon-e-jinaa(n) sooye zaagh le key chale.

Tere sahaaab-e-sukhan sey na nam key nam sey bhi kam,
Baleegh behr-e-balaaghat balaagh le key chale.

Huzoor-e-Taibah sey bhi koi kaam barh kar hay,
Key jhoote heele makr-o-faraagh le key chale.

Tumhaare wasf-e-jamaal-o-kamaal mein jibraeel,
Muhaal hay key majaal-o-masaagh le key chale.

Gilah nahin hay mureed rasheed-e-shaitaa(n) sey,
Keh us key wusa’at-e-ilmi ka laagh le key chale.

Har eik apne bare ki barayi karta hay,
Har eik mugbachah mugh ka ayaagh le key chale.

Magar Khuda pe jo dhabba darogh ka thopa,
Ye kis la’ee(n) ki ghulaami ka daagh le key chale.

Wuqoo’-e-kizb key ma’ni durust aur qudoos,
Hiye ki phoote ‘ajab sabz baagh le key chale.

Jahaa(n) mein koi bhi kaafir saa kaafir aisaa hay,
Ke apne Rab pe safaahat ka daagh le key chale.

Pari hay andhe ko ‘aadat keh shorbe hi sey khaaye,
Bater haath nah aayi to zaagh le key chale.

Khabees behr-e-khabeesah khabeesah behr-e-khabees,
Ke saath jins ko baazo-o-kulaagh le key chale.

Jo deen kawwo(n) ko de baitthe un ko yaksaa(n) hay,
Kulaagh le key chale yaa ulaagh le key chale.

RAZA kisi sag-e-Taibah key paao(n) bhi choome,
Tum aur aah keh itnaa dimaagh le key chale.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,952 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,099 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...967 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...755 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...738 views

Leave a Comment