Kuch Aesa Karde Mere Kirdgaar Aankho Mein Naat Lyrics | Barkate Raza

कुछ ऐसा कर दे मेरे किर्दगार आँखों में / Kuchh Aisa Kar De Mere Kirdgar Aankhon Mein

 

कुछ ऐसा कर दे, मेरे किर्दगार ! आँखों में
हमेशा नक़्श रहे रू-ए-यार आँखों में

न कैसे ये गुल-ओ-गुंचे हों ख़्वार आँखों में
बसे हुए हैं मदीने के ख़ार आँखों में

बसा हुआ है कोई गुल-‘अज़ार आँखों में
खिला है चार तरफ़ लाला-ज़ार आँखों में

वो नूर दे, मेरे परवरदिगार ! आँखों में
कि जल्वा-गर रहे रुख़ की बहार आँखों में

बसर के साथ बसीरत भी ख़ूब रौशन हो
लगाऊँ ख़ाक-ए-क़दम बार बार आँखों में

उन्हें न देखा तो किस काम की हैं ये आँखें
कि देखने की है सारी बहार आँखों में

नज़र में कैसे समाएँगे फूल जन्नत के
कि बस चुके हैं मदीने के ख़ार आँखों में

अजब नहीं कि लिखा लौह का नज़र आए
जो नक़्श-ए-पा का लगाऊँ ग़ुबार आँखों में

करम ये मुझ पे किया है मेरे तसव्वुर ने
कि आज खींच दी तस्वीर-ए-यार आँखों में

फ़रिश्तो ! पूछते हो मुझ से किस की उम्मत हो
लो देख लो, ये है तस्वीर-ए-यार आँखों में

पिया है जाम-ए-मोहब्बत जो आप ने, नूरी !
हमेशा इस का रहेगा ख़ुमार आँखों में

शायर:
मुस्तफ़ा रज़ा ख़ान नूरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 

kuchh aisa kar de, mere kirdgaar ! aankho.n me.n
hamesha naqsh rahe roo-e-yaar aankho.n me.n

na kaise ye gul-o-gunche ho.n KHwaar aankho.n me.n
base hue hai.n madine ke KHaar aankho.n me.n

basa huaa hai koi gul-‘azaar aankho.n me.n
khila hai chaar taraf laala-zaar aankho.n me.n

wo noor de, mere parwardigaar ! aankho.n me.n
ki jalwa-gar rahe ruKH ki bahaar aankho.n me.n

basar ke saath baseerat bhi KHoob raushan ho
lagaau.n KHaak-e-qadam baar baar aankho.n me.n

unhe.n na dekha to kis kaam ki hai.n ye aankhe.n
ki dekhne ki hai saari bahaar aankho.n me.n

ajab nahi.n ki likha lauh ka nazar aae
jo naqsh-e-paa ka lagaau.n Gubaar aankho.n me.n

karam ye mujh pe kiya hai mere tasawwur ne
ki aaj kheench di tasweer-e-yaar aankho.n me.n

farishto ! poochhte ho mujh se kis ki ummat ho
lo dekh lo, ye hai tasweer-e-yaar aankho.n me.n

piya hai jaam-e-mohabbat jo aap ne, Noori !
hamesha is ka rahega KHumaar aankho.n me.n

Poet:
Mustafa Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Ghulam Mustafa Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,801 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...888 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...639 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...513 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...456 views

Leave a Comment