KOYI KYA JANE JO TUM HO KHUDA HI JAANE KYA TUM HO NAAT LYRICS

KOYI KYA JANE JO TUM HO KHUDA HI JAANE KYA TUM HO NAAT LYRICS

 

Koyi Kya Jane Jo Tum ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho
Khuda To Keh Nahi Sakte Magar Shaane Khuda Tum Ho

Tumhara Husn Aisa Hai Ki Mehboob E Khuda Tum Ho
Mahe Kaamil Kare Kasbe Ziya Wo Mahlika Tum Ho

Jahan Taarik Tha Saara Andhera Hi Andhera Tha
Tum Aaye Zulmate tumse Miti Badrudduja Tum Ho

Shabe Mearaj Se Ay Sayyide kul Ho Gaya Zaahir
Rasool Hai Muqtadi Saare Imam Ul Ambiya Tum Ho

tumhare Baad Paida Ho Nabi Koyi Nahi Mumkin
Nubuvvat Khatam Hai Tum Par Ki Khatmul Ambiya Tum Ho

Giraftaar E Balaa Hazir Hue Hai Toote Dil Le Kar
Ki Har Bekal Ki Kal Toote Dilo Ka Aasra Tum Ho

Khabar Lije Khudara Mere Maula Mujh Se Bekas Ki
Ki Har Bekas Ke Kas Bebas Ke Bas Roohi Fida Tum Ho

Chamak Jaaye Dile Noori Tumhare Paak Jalwo Se
Mita Do Zulmat E Dil Ki Mere Noor Ul Huda Tum Ho

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,619 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,008 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,772 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,640 views

Leave a Comment