Hazrat Imam Hussain alayhis salam ki azeem sakhawat aur unki bar-haq shaan poore jahan me misali hai.
Yeh nihayat hi khubsoorat aur dil-soz manqabat ‘Kitna Sakhi Hai Dar Mere Aaqa Hussain Ka’ sarkar-e-Karbala ke darr ki azmat aur unke karam ko bayan karti hai.
Aaiye is muqaddas aur aqeedat se bharpoor kalam ko nihayat hi adab, ehtiraam aur mohabbat ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Kitna Sakhi Hai Dar Mere Aaqa Hussain Ka |
| Poet / Writer | Traditional |
| Category | Manqabat Lyrics |
| Naatkhawan / Reciter | Hazrat Ghulam Raza Madhupuri |
Naat Lyrics in Roman
kitna sakhi hai dar mere aaqa husain ka
khaate hai.n log aaj bhi sadqa husain ka
duniya me.n jo ghulaam hai.n mere husain ke
rakhe ga laaj hashr me.n naana husain ka
aankho ko aansuo se mai.n karta hu.n ba-wazu
hota hai zikr jab kahi.n maula husain ka
dekhe ga kis tarah koi meri nigaah se
deen-e-mohammadi pe hai pehra husain ka
Naat Lyrics in Hindi
कितना सख़ी है दर मेरे आक़ा हुसैन का
खाते हैं लोग आज भी सदक़ा हुसैन का
दुनिया में जो गु़लाम हैं मेरे हुसैन के
रखे गा लाज ह़श्र में नाना हुसैन का
आंखो को आंसुओ से मैं करता हूं बा-वज़ू
होता है ज़िक्र जब कहीं मौला हु़सैन का
देखे गा किस तरह कोई मेरी निगाह से
दीने-मोहम्मदी पे है पहरा हुसैन का
Naat Lyrics in Urdu
کتنا سخی ہے در میرے آقا حسینؑ کا
کھاتے ہیں لوگ آج بھی صدقہ حسینؑ کا
دنیا میں جو غلام ہیں میرے حسینؑ کے
رکھے گا لاج حشر میں ناناؐ حسینؑ کا
آنکھوں کو آنسوؤں سے میں کرتا ہوں باوضو
ہوتا ہے ذکر جب کہیں مولا حسینؑ کا
دیکھے گا کس طرح کوئی میری نگاہ سے
دینِ محمدیؐ پہ ہے پہرہ حسینؑ کا