Kismat Mein Meri Chain Se Jeena Likh De Naat lyrics

Kismat Mein Meri Chain Se Jeena Likh De Naat lyrics

Kismat Mein Meri Chain Se Jeena Likh De Naatslyrics
Kismat Mein Meri Chain Se Jeena Likh De Naatslyrics

 

Kismat mein meri chain se jeena likh de
Doobe na kabhi mera safeena likh de
Jannat to thikana hai maghar duniya mein
Aye Katib e Taqdeer, Madina likh de

Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum gareebon ke din bhi sanwar jayenge
Tajdar e haram, ho nigah e karam

Hamiy e bay kasa, kya kahe ga jahan
App kay dar se khali agar jayenge

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Chashm e rahmat ba khusha sooh e malandaz e nazar
Aie quraishi la kabi hashmi o muttalabi
Tajdar e haram, ho nigaah e karam!!
Tajdar e haram, ho nigaah e karam!!

Kya tumse kahoon aie Rab ke kuwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaa
Dar furqat toh aye ummi laqab
Kaate na katak hai ab ratiyaa
Turi preet mein sudh bhudh sab bisri
Kab tak ye rahegi be khabri
Daah e ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri batiyaa

Tajdar e haram, ho nigaah e karam!!
Tajdar e haram, ho nigaah e karam!!

Koi apna nahi gum ke maare hain hum
Aap ke dar pe faryaad laye hain hum
Ho Nigah e karam, nigah e karam
Ho Nigah e karam, warna chhokat pe hum
Aap ka naam le le ke marjayenge!!

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Maikasho aao aao Madine chalein
Chashm e saakiye kausar se peene chalein
Yaad rakho agar, uth gayi ek nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jayenge

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Khauf e toofan hai, bijliyo ka hai darr
Sakht mushkil hai Aaqa kidhar jaye hum
Ap hi gar na lenge, hamari khabar
Hum museebat ke maare kidhar jayege!

Tajdar e haram, hoo nigah e karam!!
Hum gareebo ke din bhi sanwar jayenge
Tajdar e haram, ho nigaah e karam!

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Tajdar e haram…

Mai saahil hoon meri auqaat kya hai
Tum aaqa ho, tumhari baat kya hai

Chashm-e-rahmat-ba-khusha
soohe-malan daaz nazar
Aye quraishi-la-kabi hasmhi-o-muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam!!

Kehna saba huzoor se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah

Phir ujdiyon ko laal de,
jaan paththaron mein daal de
Haavi ho mustaqbil pe hum,
maazi sa humko haal de
Daawa hai teri chaah ka,
is ummat-e-gumraah ka

Tere siva koi nahi, ya rahmat-al-lil-alameen
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana

Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, roz-e-jazaa

Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye

Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram

Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein

Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Madine chalen, aao Madine chalen
Isi mahine chalen, chalo madine chalen

Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Taaaajdaaar-e-Harammm!!!!!

 

Leave a Comment