Momino Khushiyan Manao Kamli Wala Aa Gaya Lyrics

Momino Khushiyan Manao Kamli Wala Aa Gaya Lyrics

Momino khushiyan manao Kamli wala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaya
Rab-e-Sallim gun gunaaon, Kamli wala aa gaya

Chehra-e-wal fajr sey aur gaysu ey wal-layl sey
Dil ko aa’inah banaao, Kamli wala aa gaya

Jhuk geyaa sajdey main baytullah bhi ta’zeem ko
Ab diyey dil key jalaao, Kamli wala aa gaya

Godi mein ley kar Halimah Sa’diyah ney yun kahaa
‘Azmaton key geet gaao, Kamli wala aa gaya

Jashn-e-milaad-un-Nabi main un key zikr-e-paak sey
Najdion par qehr dhaao, Kamli wala aa gaya

Chaand sooraj aur sitaaro kehkashaan ard-o-falak
Roshni apni barhaao, Kamli wala aa gaya

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment