Khwaja e Khwajgaan Tum Pay Lakho Salam

Khwaja e Khwajgaan Tum Pay Lakho Salam
Fakhre Hindustaan Tum Pay Lakho Salam
Aaftabe Risalat kay ho ek kiran
Nazishay Arifaan Tum Pay Lakho Salam
Tum ne phailaee islam ki raushni
Deen ke paasbaan Tum Pay Lakho Salam
Raunaqe rauza e pak hai dil nasheen
Misle qasre jinaan Tum Pay Lakho Salam
Aap ke Dar se patay hai shah o gada
Faiz har do jahaan Tum Pay Lakho Salam
Hum ko izn e Huzoori ata kar diya
Kitne ho maherbaan Tum Pay Lakho Salam
Hum ghareebaun ke Sarkaar Khwaja piya
Hami e bay kasaan Tum Pay Lakho Salam
Naaz hum ko ghulami ki nisbat pay hai
Khusrawe ins o jaan Tum Pay Lakho Salam
Hum ghulame ghulamane Sarkar hai
Tum hamare hum tumhare Tum Pay Lakho Salam
Aap ke Dar se daulat milgaee hamay
Baat hai bay gumaan Tum Pay Lakho Salam
Bheek Saqib ko chashme karam ki milay
Mohsine qalb o jaan Tum Pay Lakho Salam
Bheek hum sab ko chashme karam ki milay
Mohsine qalb o jaan Tum Pay Lakho Salam

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment