KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS

KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS

 

Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat,
Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali
Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali,
Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali,

Mein Pehlay Pehal Jab Madinaa Gya Tha,
To Thi Dill Ki Halat Tadapp Janay Wali,
Wo Darbaar Sach Much Mere Samnay Tha,
Abhi Tak Tasawwur Tha Jiss Ka Khiali,

Main Ek Haath Say Dill Sanbhalay Huay Tha,
To Thi Doosray Haath Rozay Ki Jaali,
Dua Kay Liye Hath Uthte To Kesay!!!
Na Yeh Hath Khaali, Naa Woh Haath Khaali,

Jo Poocha Hai Tum Nay, Kay Main Nazr Karnay
Ko Kia Lay Gya Tha, Tou Tafseel Sun Lo,
Tha Naaton Ka Ik Haar, Ashkon Kay Moti,
Daroodon Ka Gajra, Salamon Ki Daali,

Dhani Apni Qismat Ka Hai To Wohi Hai,
Deyar E Nabi (S.A.W.W) Jiss Nay Aankhon Se Dekha,
Muqaddar Hai Sacha Muqaddar Ussi Ka,
Nigaah E Karam Jiss Pe Aaqa(S.Aw.W) Nay Daali,

Main Uss Aastaan E Haram Ka Gada Hoon,
Jahan Sir Jhukatay Hain Shaahaan E Aalam,
Mujhay Taajdaaron Se Kamm Mat Samajhna,
Mera Sir Hai Shayaan E Taaj E Bilaali,

Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat,
Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali
Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali,
Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali,

 

KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS
KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,160 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...912 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...781 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...520 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...477 views

Leave a Comment