Imam e zamana..
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
1. Haseen manzar wo kab dikhega
khuda ke ghar pe alam ka saaya
namaz padhwaenge jo maula
to piche saff mein milenge Isa
haram mein majlis bapa karenge
padhenge nauha – Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
2. Bohot hi chota sa ghar hai mera
par isme hujra hai ek tera
sharaf ye mere liye bada hai
tu mujhse kar le ye ek waada
bus ek shab ko tu mere ghar mein
qayaam karna – Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
3. Misal e kaaba ye dil hai mera
hai isme maula tera basera
sada e dhadkan mera areeza
bhala mai kaghaz pe ab likhu kya
jo dhadkano ki sada sunega
tu jaan lega – Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
4. Safar tha paidal jab arbaee’n ka
mai har jagah tujh ko dhundhta tha
tu zaero mein, tu ashiqo mein
aye mere maula kahi’n to hoga
ye soch kar hi mai sabke qadmo
ko chumta tha- Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
5. Kitab e haq se ye maine jaana
har ek shay ko panah hai maula
laga hua hai qaza ka pehra
nahi hai saanso ka ab bharosa
jo band hojaye meri ankhein
mujhe jagana- Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
6. Tujhe tasawwur mein jab bhi dekha
Ali ke jaisa tera hasham tha
hai tere qabze mein tegh e haider
alam hai kandhe pe bawafa ka
misal e dul dul sawaar
andaaz fatehana – Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana
7. Dua hai mazhar ki raat din ab
kahenge ameen matami sab
ho sehne kaaba mein jab bhi majlis
karaye zikr e Hussain o Zainab
ba garz e nauha tum apne
farhan ko bulana – Imam e Zamana
Uthake parda, dikha do jalwa
Aye ibn e Zahra – Imam e Zamana