नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !
पैकर-ए-दिल-रुबा बन के आया, रूह-ए-अर्ज़-ओ-समा बन के आया
सब रसूल-ए-ख़ुदा बन के आए, वो हबीब-ए-ख़ुदा बन के आया

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !
जो हिज्र-ए-तयबा में याद बन कर ख़याल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

तेरी दुआओं ही की बदौलत अज़ाब-ए-रब से बचे हुए हैं
जो हक़ में उम्मत के तेरे लब पर सवाल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

ग़ुरूर उमय्या का तोड़ डाला, दिखा के ईमान वाला जज़्बा
जो हब्शियों में ग़ुलाम तेरा बिलाल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

नबी की आमद से नूर फैला, फ़ज़ा-ए-शब पर निखार आया
चमन में कलियों के रुख़ पे हुस्न-ओ-जमाल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

लक़ब जो सिद्दीक़ तेरा ठहरा, निराला सब से है तेरा पहरा
नबी के शातिम पे जैसे तुझ को जलाल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

उमर की जुर्अत पे जाऊँ क़ुरबाँ, थे क़ैसर-ओ-किस्रा जिन से लर्ज़ां
उमर के आने से कुफ्र पर जो ज़वाल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

हुसैन इब्न-ए-अली का ना’रा ज़बाँ पर आया तो दिल पुकारा
नबी का प्यारा, हसीं दुलारा, कमाल आया ! कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

नबी तो, साइम ! सभी हैं आ’ला, हैं रुत्बे सब के अज़ीम-ओ-बाला
मगर जो आख़िर में आमिना का वो लाल आया, कमाल आया !

नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !

शायर:
मलिक मुबश्शिर साइम अ’लवी

नात-ख़्वाँ:
ज़ोहैब अशरफ़ी

 

paikar-e-dil-ruba ban ke aaya
rooh-e-arz-o-sama ban ke aaya
sab rasool-e-KHuda ban ke aae
wo habeeb-e-KHuda ban ke aaya

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !
jo hijr-e-tayba me.n yaad ban kar
KHayaal aaya, kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

teri duaao.n hi ki badaulat
azaab-e-rab se bache hue hai.n
jo haq me.n ummat ke tere lab par
sawaal aaya, kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

Guroor umayya ka to.D Daala
dikha ke imaan waala jazbaa
jo habshiyo.n me.n Gulaam tera
bilaal aaya, kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

nabi ki aamad se noor faila
faza-e-shab par nikhaar aaya
chaman me.n kaliyo.n ke ruKH pe
husn-o-jamaal aaya, kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

laqab jo siddiq tera Thahra
niraala sab se hai tera pahra
nabi ke shaatim pe jaise tujh ko
jalaal aaya, kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

‘umar ki jur.at pe jaau.n qurbaa.n
the qaisar-o-kisra jin se larzaa.n
‘umar ke aane se kufr par jo
zawaal aaya, kamaal aaya

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

husain ibn-e-‘ali ka naara
zabaa.n par aaya to dil pukaara
nabi ka pyaara, hasee.n dulaara
kamaal aaya ! kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

nabi to, Saaim ! sabhi hai.n aa’la
hai.n rutbe sab ke azeem-o-baala
magar jo aaKHir me.n aamina ka
wo laal aaya, kamaal aaya !

nabi ka lab par jo zikr hai
be-misaal aaya, kamaal aaya !

Poet:
Malik Mubashshir Saim Alwi

Naat-Khwaan:
Zohaib Ashraf

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,720 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...884 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...577 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment