Hum Hain Iltaja Wale Lyrics

Hum Hain Iltaja Wale Lyrics

Hum hain Iltijaa waalay, Aap hain ata waalay,
Bheek kuch ataa karna, aye meray sakha walay.

Cher na hamein dunya, ham hain Mustafa (SAW) waalay,
Sayyidul Wara waley, Shah e Do Sara waalay.

Mein mareez e taiba hoon, us galli may lay jao,
Haan wohi gali jis kay, zaray hay shifaa waalay.

Khud kaha meray Rab (SWT) nay, bakhsh doun ga main sab ko,
Par aain yaar kay dar par, yeh jithnay hain khata waalay.

Mar to jayein gay lekin, ghair say na mangain gay,
Aaqa aap kay bhikari to, hain bari anaa waalay.

Waqt kay salaami bhi, bheek lenay aatay hain,
Aray taajdaar aisay hain, yay khaak e naqsh e paa waalay.

Maal o zar ki yeh Altaf, kuch nahinn hamain parwaa,
Array jaan bhi lutatay hain, admi wafa waalay.

Cheir na hamain dunya, ham hain Mustafa (SAW) waalay,
Cheir na hamain dunya, ham hain Mustafa (SAW) waalay,

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...4,315 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,158 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...978 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...826 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...765 views

Leave a Comment