Hirze Jaan Zikre Shafa’at Kijiye Naat Lyrics

Hirze Jaan Zikre Shafa’at Kijiye Naat Lyrics

 

Hirze Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye Naat Sharif Lyrics

Hirze Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye,
Naar Se Bachne Ki Soorat Kijiye.

Unke Naqshe Paa Pe Gairat Kijiye,
Aankh Se Chhup Kar Ziyaarat Kijiye.

Un Ke Husn e Ba-Malaahat Par Nisar,
Shiraye Jaañ Ki Halaawat Kijiye.

Ya Nabi Salam Alaika Lyrics

Un Ke Dar Par Jaise Ho Mit Jaayiye,
Na Tuwaano ! Kuchh To Himmat Kijiye.

Fer Dijiye Panja e Dewe Laye’ee,
Mustafa ﷺ Ke Bal Pe Taaqat Kijiye.

Doob Kar Yaad e Labe Shaadaab Me,
Aab e Kausar Ki Saraabat Kijiye.

Yaad e Qaamat Karte Uthiye Qabr Se,
Jaan e Mahsher Par Qayamat Kijiye.

Unke Dar Par Baithiye Ban Kar Faqeer,
Be-Nawaao Fikr e Sarwat Kijiye.

Jis Ka Husn Allah Ko Bhi Bhaa Gaya,
Aise Pyaare Se Mohabbat Kijiye.

Hayy’e Baaqi Jiski Karta Hai Sana,
Marte Dam Tak Uski Midhat Kijiye.

Arsh Par Jiski Kamaane Chadh Gayiñ,
Sadqe Us Baazu Pe Quwwat Kijiye.

Neem Wa Taiba Ke Phooloñ Par Ho Aankh,
Bulbuloñ ! Paase Nazaakat Kijiye.

Sar Se Girta Hai Abhi Baare Gunaah,
Kham Zara Faqre Iraadat Kijiye.

Aankh To Uthhti Nahi Kya Deñ Jawaab,
Ham Pe Be-Pursish Hi Rahmat Kijiye.

Uzr Badtar Az Gunah Ka Zikr Kya,
Be Sahab Ham Par Inaayat Kijiye.

Naara Kijiye Yaa RASOOLALLAH ﷺ Ka,
Mufliso ! Saamaane Daulat Kijiye.

Ham Tumhare Ho Ke Kis Ke Paas Jaayeñ,
Sadqa Shahzaadoñ Ka Rahmat Kijiye.

Man Ra’aani Qad Ra’al Haq Jo Kahe,
Kya Bayaañ Uski Haqiqat Kijiye.

Aalim e Ilm e Do-Aalam Hain Huzoor ﷺ
Aap Se Kya Arz e Haajat Kijiye.

Aap Sultaan e Jahaañ Ham Be-Nawa,
Yaad Hamko Waqt e Ne’mat Kijiye.

Tujh Se Kya Kya Ay Mere Taiba Ke Chand,
Zulmate Gham Ki Shikaayat Kijiye.

Dar Badar Kab Tak Fire Khasta Kharaab,
Taiba Me Madfan Inaayat Kijiye.

Har Baras Wo Qaafiloñ Ki Dhum Dhaam,
Aah Suniye Aur Gaflat Kijiye.

Fir Palat Kar Muh Na Us Janib Kiya,
Sach Hai Aur Daa’waaye Ulfat Kijiye.

Aqriba Hubbe Watan Be-Himmati,
Aah Kis Kis Ki Shikayat Kijiye.

Ab To AAQA ﷺ Muh Dikhane Ka Nahi,
Kis Tarah Raf’e Nadaamat Kijiye.

Apne Haathoñ Khud Luta Baithe Hain Ghar,
Kis Pe Da’waate Biza’at Kijiye.

Kis Se Kahiye Kya Kiya Kya Ho Gaya,
Khud Hi Apne Par Malaamat Kijiye.

Arz Ka Bhi To Ab Muh Padta Nahi,
Kya Ilaaje Dard e Furqat Kijiye.

Apni Ek Mithi Nazar Ke Shahd Se,
Chaaraye Zahre Musibat Kijiye.

De Khuda Himmat Ki Ye Jaane Hazeeñ,
Aap Par Waare Wo Surat Kijiye.

Aap Ham Se Badh Ke Ham Par Mehrbaañ,
Ham Kareñ Jurm Aap Rahmat Kijiye.

Jo Na Bhula Ham Gariboñ Ko Raza,
Yaad Uski Apni Aa’dat Kijiye.

 

 

 

Hirze Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye Naat Sharif Lyrics In Hindi

 

हिर्ज़े जां ज़िक्र ए शफ़ा’अत कीजिए,
नार से बचने की सूरत कीजिए।

उन के नक्शे पा पे गैरत कीजिए,
आंख से छुप कर ज़ियारत कीजिए।

उन के हुस्न ए बा–मलाहत पर निसार,
शिरए जां की हलावत कीजिए।

उन के दर पर जैसे हो मिट जाइए,
ना तुवानों ! कुछ तो हिम्मत कीजिए।

फेर दीजिए पंज ए देवे लई,
मुस्तफा ﷺ के बल पर ताकत कीजिए।

डूब कर यादें लबे शादाब में,
आबे कौसर की सबाहत कीजिए।

यादे कामत करते उठिए क़ब्र से,
जाने महशर पर क़यामत कीजिए।

उन के दर पर बैठिए दर पर फ़कीर,
बे–नवाओं फ़िक्र ए सरवत कीजिए।

जिस का हुस्न अल्लाह को भी भा गया,
ऐसे प्यारे से मोहब्बत कीजिए।

हय्य बाक़ी जिसकी करता है सना,
मरते दम तक उसकी मिदहत कीजिए।

अर्श पर जिसकी कमाने चढ़ गईं,
सदके उस बाज़ू पे कुव्वत कीजिए।

नीम वा तैयबा के फूलों पर हो आंख,
बुलबुले ! पासे नज़ाकत कीजिए।

सर से गिरता है अभी बारे गुनाह,
खम ज़रा फक्रे इरादत कीजिए।

आंख तो उठती नहीं क्या दें जवाब,
हम पे बे–पुरसीश ही रहमत कीजिए।

उज्र बदतर अज़ गुनाह का ज़िक्र क्या,
बे सबब हम पर इनायत कीजिए।

नारा कीजिए या रसूलल्लाह ﷺ का,
मुफलिसो ! सामाने दौतल कीजिए।

हम तुम्हारे हो के किस के पास जाएं,
सदका शहजादों का रहमत कीजिए।

मन रआनी क़द रअल हक़ जो कहे,
क्या बयां उसकी हकीक़त कीजिए।

आलिम ए इल्म ए दो आलम हैं हुज़ूर ﷺ
आप से क्या अर्ज़ ए हाजत कीजिए।

आप सुलताने जहां हम बे नवा,
याद हमको वक्ते ने’मत कीजिए।

तुझ से क्या क्या ऐ मेरे तैयबा के चांद,
ज़ुल्मत ए गम की शिकायत कीजिए।

दर बदर कब तक फिरे खस्ता खराब,
तैयबा में मदफन इनायत कीजिए।

हर बरस वो काफ़िलों की धूम धाम,
आह सुनिए और गफलत कीजिए।

फिर पलट कर मुंह न उस जानिब किया,
सच है और दा’वाये उल्फत कीजिए।

अकरीबा हुब्बे वतन बे–हिम्मती,
आह किस किस की शिकायत कीजिए।

अब तो आक़ा ﷺ मुंह दिखाने जा नहीं,
किस तरह रफ’ए नदामत कीजिए।

अपने हाथों खुद ही लुटा बैठे हैं घर,
किस पे दा‘वाए बिज़ा‘अत कीजिए।

किस से कहिए क्या किया क्या हो गया,
खुद ही अपने पर मलामत कीजिए।

अर्ज़ का भी अब तो मुंह पड़ता नहीं,
क्या इलाज ए दर्द ए फुर्कत कीजिए।

अपनी एक मीठी नज़र की शहद से,
चारए ज़हर ए मुसीबत कीजिए।

दे खुदा हिम्मत की ये जान ए हजीं,
आप पर वारे वो सुरत कीजिए।

आप हम से बढ़ कर हम पर महरबां,
हम करे जुर्म आप रहमत कीजिए।

जो न भुला हम गरीबों को रज़ा,
याद उसकी अपनी आ‘दत कीजिए।

 

 

Hirze Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye Naat Sharif Lyrics In Urdu

 

حرزِ جاں ذِکرِ شفاعت کیجیے
نار سے بچنے کی صورت کیجیے

اُن کے نقشِ پا پہ غیرت کیجیے
آنکھ سے چھپ کر زیارت کیجیے

اُن کے حسنِ با ملاحت پر نثار
شیرئہ جاں کی حلاوت کیجیے

اُن کے در پر جیسے ہو مِٹ جائیے
ناتوانو! کچھ تو ہمّت کیجیے

پھیر دیجے پنجۂ دیوِ لعیں
مصطفیٰ کے بَل پہ طاقت کیجیے

ڈُوب کر یادِ لبِ شاداب میں
آبِ کوثر کی سباحت کیجیے

یادِ قامت کرتے اُٹھیے قبر سے
جانِ محشر پر قیامت کیجیے

اُن کے دَر پر بیٹھیے بن کر فقیر
بے نواؤ فکرِ ثروت کیجیے

جِس کا حُسن اللہ کو بھی بَھا گیا
ایسے پیارے سے محبت کیجیے

حی باقی جس کی کرتا ہے ثنا
مرتے دم تک اس کی مِدحت کیجیے

عرش پر جس کی کمانیں چڑھ گئیں
صدقے اس بازو پہ قوت کیجیے

نیم وا طیبَہ کے پھولوں پر ہو آنکھ
بُلبلو! پاسِ نزاکت کیجیے

سر سے گِرتا ہے ابھی بارِ گناہ
خم ذرا فرقِ اِرادت کیجیے

آنکھ تو اُٹھتی نہیں کیا دیں جواب
ہم پہ بے پرسِش ہی رحمت کیجیے

عذر بدتر از گنہ کا ذِکر کیا
بے سبب ہم پر عنایت کیجیے

نعرہ کیجے یارسول اللہ کا
مفلسو! سامانِ دولت کیجیے

ہم تمہارے ہو کے کس کے پاس جائیں
صَدقہ شہزادوں کا رحمت کیجیے

مَنْ رَاٰنِی قَدْ رَأَی الْحَق جو کہے
کیا بیاں اس کی حقیقت کیجیے

عالمِ علم دو عالم ہیں حضور
آپ سے کیا عرض حاجت کیجیے

آپ سلطانِ جہاں ہم بے نوا
یاد ہم کو وقت نعمت کیجیے

تجھ سے کیا کیا اے مِرے طیبہ کے چاند
ظلمتِ غم کی شکایت کیجیے

دَر بدر کب تک پِھریں خستہ خراب
طیبہ میں مدفن عنایت کیجیے

ہر برس وہ قافلوں کی دُھوم دھام
آہ سُنیے اور غفلت کیجیے

پھر پلٹ کر مُنھ نہ اُس جانب کیا
سچ ہے اور دعوائے اُلفت کیجیے

اَقربا حُبِّ وَطن بے ہمتی
آہ کِس کِس کی شکایت کیجیے

اب تو آقا مُنھ دِکھانے کا نہیں
کِس طرح رَفعِ ندامت کیجیے

اپنے ہاتھوں خود لٹا بیٹھے ہیں گھر
کس پہ دعوائے بضاعت کیجیے

کِس سے کہیے کیا کِیا کیا ہو گیا
خود ہی اپنے پَر ملامت کیجیے

 

عرض کا بھی اب تو مُنھ پڑتا نہیں
کیا علاجِ دَردِ فرقت کیجیے

اپنی اِک میٹھی نظر کے شہد سے
چارئہ زہرِ مصیبت کیجیے

دے خدا ہمّت کہ یہ جانِ حزیں
آپ پر واریں وہ صورت کیجیے

آپ ہم سے بڑھ کے ہم پر مہرباں
ہم کریں جرم آپ رحمت کیجیے

جو نہ بُھولا ہم غریبوں کو رضاؔ
یاد اُس کی اپنی عادَت کیجیے

 

 

Mahoom e Ashaar Aur Khulasa w Tashreeh:

 

(1)

Hirze Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye,
Naar Se Bachne Ki Soorat Kijiye.

Apni jaan ko mahfooz karne ke liye shafa’at ka zikr apne galey ka taweez bana lo ke jaise taweez har waqt galey mein rehta hai is tarah zikr shafa’at se har waqt apni zubaan ko tar rakhho.

is tarah use gunehgaaro dozakh ki aag se bachne ki tumhare liye koi surat nikal sakti hai, aamal peh bharosa nahi kiya jasakta,  hazoor ki shafa’at se hi kaam banega.

Karam ki baat karo! Ya unki ata ki baat karo

zubaan ko pak kar, Mustafa ki baat karo

(Khizr Hussain Khizr)

Aamal ka maamla to yeh hai ke Hazrat Abdullah bin Mubarak jaisi shakhsiyat ko marne ke baad Allah ne sirf itni baat par kah ke tu ne ek bidati ko muhabbat se dekha tha 30 saal apne samne khara kar ke dant dapt farmayi.

(Ruh al-Bayan)

aur ek shakhs apne sage bete ko baroz qiyamat lapet kar roye ga, keh mujhe sirf ek neki de de taki meri bakshish ho jaye, magar woh jhatka de ga. keh jis tarah aaj tu zaroorat mand hai main bhi hoon. ishi tarah biwi, baap, maan, behan bhaiyon ka haal hoga.

Is liye

karo na baat zamaane ki ma jabeenou ki

mere nabi ke rukh wazehi ki baat karo

 

(2)

Unke Naqshe Paa Pe Gairat Kijiye,
Aankh Se Chhup Kar Ziyaarat Kijiye.

 Agar sharam o haya ka madah hai to khandaan, baradri aur jhooti izzat o namoos par ghairat karne ki bajaye hazoor alaihi al-salam ke nishaan qadam pe mar mito aur ghairat karo aur phir zahiri aankhon se chhup kar dil ki aankh se Mustafa ka deedar karo. jaise Hazrat Abu Bakr Siddique ne Ghare Thaur mein kiya.

 

(3)

Un Ke Husn e Ba-Malaahat Par Nisar,
Shiraye Jaañ Ki Halaawat Kijiye.

 

Apni jaan ka meetha sharbat yaani apni jaan Hazrat Ali alaihi al-salam ke namkeen aur silowne husn ki lutf par nisar kar dijiye. Kyunki husn hai be misaal soorat la jawab mein fida tum aap ho apna jawab

 

(4)

Un Ke Dar Par Jaise Ho Mit Jaayiye,
Na Tuwaano ! Kuchh To Himmat Kijiye.

Aye nadaro, gunehgaaro! Itne past-himmat bhi na ho jao, jaise bhi ho sakay (Ashab-e-Suffa) ki tarah Hazrat Ali alaihi al-salam ke dar aqdas par baithe baithe fana ho jao! Zara himmat karo, zyada mushkil kaam nahi hai.”

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•​

_*🌹🌿🌹“Ja’far Ahmar Ne Ikhtilaaf-E-Isnaad Karte Huwe Kaha Hai Ki Yazeed Bin Abi Ziyaad Se Abd-ul-Allah Bin Haaris Ne Yeh Riwayat Bayaan Kee Hai.*_

_*🌹🌿Qasim Bin Zakariya Bin Dinaar Kahte Hain Ki Mujhe Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Bataaya Ki Mujhe Dard Huwa To Mein RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aaya Aap Ne Mujhe Apni Jagah Par Khada Kar Diya Aur Apne Kapade Ka Aik Kownah Mujh Par Daal Kar Namaz Me Masroof Ho Gaye.*_

_*🌹🌿Namaz Se Faarigh Ho Kar Farmaaya :*_

_*🌹🌿💎Ali Khade Ho Jaao ! Tum Tandurast Ho Gaye Ho Ab Tumhein Koi Khauf Nahin Mein Ne Apne Liye Jis Chiz Kee Duaa Kee Hai Tumhare Liye Bhi Waisi Hee Duaa Kee Hai Aur Mein Ne Jis Chiz Ke Muta’lliq Duaa Kee Hai Woh Qubool Ho Gayi Hai Ya Aap Ne Farmaya Ki Woh Chiz Mujhe De Dee Gayi Hai Jo Mein Ne Apne Liye Aur Tumhare Liye Maangi Hai Haa’n Albatta Mere Baad Koi Nabi Nahin.”*_

_*📕[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/138, Raqam-153.]📕*_

 

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•​

_*☘❣☘“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Bimaar Hoo’n To RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Meri Iyaadat Ke Liye Tashrif Laaein.*_

_*📜⚜📜Mein Pehlu Ke Bal Leta Huwa Tha Aap Ne Mere Pehlu Ke Saath Tek Lagaayi Phir Mujhe Apne Kapade Se Dhaanp Diya.*_

_*📜⚜📜Jab Aap Ne Dekha Ki Mein Tandurast Ho Gaya Hoo’n To Aap Masjid Me Namaz Padhne Ke Liye Chale Gaye.*_

_*📜🌹📜Namaz Se Faarig Hone Ke Baad Aap Phir Tashrif Laaye Aur Kapada Utha Kar Farmaya :*_

_*✊🌹Ya Ali ! Khade Ho Jaao Mein Khada Ho Gaya Aur Mein Bimaari Se Thik Ho Chuka Tha Goya Is Se Pehle Mujhe Koi Bimaari Hee Na Thi.*_

_*☘🌹☘Aap ﷺ Ne Farmaya : Namaz Me Mein Ne Jo Chiz Apne Liye Maangi Hai Woh Tumhare Liye Bhi Maangi Hai.,,✍🏻”*_

_*📕[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/137, 138, Raqam-152.]📕*_

 

 

_📚👉🏼🇭​🇦​🇩​🇪​🇪​🇸​.14_

○──────●●●──────○

_*🌹📃“Abd-ur-Rahman Bin Saabit (Manaqib-E-Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ke Zimn Me) Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Kaha :*_

_*🛡♻👉🏼Mein Ne Rasool-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Kee Teen³ Aisi Khaslatein Bayan Farmate Huwe Suna Ki Agar Un Me Aik Bhi Mujhe Ata Ho To Woh Mujhe Darmiyan Wa Maafiyha Se Zyaada Mahboob Hoti.*_

_*🌹♻Rasool-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :👇*_

_*🌻🌹“Jis Ka Mein Maula Hoo’n (Us Ka Ali Maula Hai),*_

_*🌻🌹Aur Ali Meri Jagah Aisa Hai Jaise Moosa Kee Jagah Haroon,*_

_*🌻🌹Aur Mein Use Elm Ata Karunga (Jo Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Habib Hai Aur Allah Ta’ala Aur Us Ke SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Us Ke Habib Hain).”*_

_*📘Ibn Abi Aasim, Kitab-us-Sunnah,/608, Raqam-1386,*_

_*📗Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 12/61, Raqam-12127,*_

_*📒Ziya’ Maqdisi, Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 03/207, Raqam-1008,*_

_*📕Ibn Asakir, Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/88, 89,*_

_*👆👉🏼Ziya’ Maqdisi Ne Is Hadith Kee Sanad Ko Sahih Qaraar Diya Hai.]*_

popular posts

Leave a Comment