Har Dam Ho Mera Vird Madina Hi Madina Naat lyrics
Har Dam Ho Mera Vird Madina Hi Madina
Bas Yaad Teri Dil Me Rahe Rozo Shabina
Wo Lamha Wo Din Aur Wo Aajaye Mahina
Phir Kash Tadapta Huwa Pohchu Mai Madina
Saqi Muhje Jaam Aisa Mohabbat Ka Pilade
Utre Na Kabhi Iska Nasha Aye Shahe Madina
Aye Noore Khuda Noor Bhari Dil Pe Nazar Ho
Ho Noor Se Pur Noor Ye Be Noor Nagina
Seena Ho Madina Mera Seena So Madina
Ban Jaaye Mera Dil Teri Ulfat Ka Khazina
Sarkaar Tamanna Hai Yoon hi Umr Basar Ho
Bas Teri Mohabbat Me Ho Marna Jina
Tum Khaake Madina Mere Lashe Pe Chidakna
Phir Malna Kafan Par Jo Mile Un Ka Pasina
Attar Talab Gaar Hai Bas Unke Karam Ka
Lillah Karam Jaane Karam Bahre Madina
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,276 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,491 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,553 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,520 views