Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein Naat Lyrics

Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein Naat Lyrics

 

Habib-e-Khuda ka nazaara karoon mein
Dil-o-jaan un par nisaara karoon mein

Teri kafshe pa yu savaara karoon mein
Ke palko se usko buhaara karoon mein

Mera deen-o-iman farishte jo puche
Tumhari hi janib ishaara karoon mein

Yeh ek jaan kiya hai agar ho karoron
Tere naam par sab ko wara karoon mein

Tere naam par sar ko qurbaan karke
Tere sar se sadqe utaara karoon mein

Mein kiyu ghair ki thokre khane jao
Tere dar se apna guzaara karoon mein

Dam-e-wapsi tak tere geet gau
Muhammad Muhammad
Muhammad Muhammad
Muhammad Pukara karoon mein

Tera zikr lab par Khuda dil ke andar
Yuhi zindagani guzaara karoon mein

Khuda khair se laye wo din bhi Noori
Madine ki galiya buhaara karoon mein

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment