Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Agheyaar Ki Soorat Lyrics

ehbaab ki soorat ho ke aghyaar ki soorat
har chehre mein aati hai nazar yaar ki soorat

jis ankh ne dekha tujhe uss ankh ko dekhun
hai iske siwa kya tere deedar ki soorat

pehchaan liya tujhko teri sheesha gari se
aati hai nazar fann se hi fankaar ki soorat

sooorat meri ankhon mein samaayegi na koi
nazaron mein bassi rehti hai sarkaar ki soorat

dil haath pe rakha hai koi hai jo khareede
dekhun to zara main bhi khareedar ki soorat

aye mere dil ke khareedar kahan jaata hai
muft sauda hai arre yaar kahan jaata hai

ashqon ne bayaan kar hi diya raaz e tamanna
ham soch rahe the abhi izhaar ki soorat

‘Wasif’ ko sarre daar pukaara hai kisi ne
inkaar ki soorat hai na izhaar ki soorat

hasrat e khuld nahi aarzu e hoor nahi
tere jalwon ke siwa kuch mujhe manzoor nahi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,656 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,845 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,794 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,273 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,912 views

Leave a Comment