Banun Ga Mein Hafiz Quran Lyrics

Banunaga Mein Hafize Quraan Lyrics

Banunaga Mein Hafize Quraan
Banunaga Mein Hafize Quraan

Aye Mere Pyare Baba Jaan
Mere Dil mein hai Armaan
Mein bhi Madarse Jaunga
Banunga Mein Hafize Quraan

Suna hai Hafize Quraan ke
Maa Baap ko Jannat milti hai
Taaje Fakhar Unke Sar par
Shaano Izzat Milti hai
Muje bhi Aesa moka de
Jaldi dakhila dilwa de
Banunga Mein bhi Azeem Insan
Banunga Mein Hafize Quraan

 

 

Aye Mere Pyare Baba Jaan
Mere Dil mein hai Armaan
Mein bhi Madarse Jaunga
Banunga Mein Hafize Quraan

Ek Ek Aayaah Padunga Mein
Darja b Darja Chadunga Mein
Manzil Meri Wahin hogi
Khatm Jahan pe karunga Mein
Rabb ki Nawazish Paunga
Haq ki Shifarish Paunga
Banunga Nabi ka Mein Maheman
Banunga Mein Hafize Quraan

Aye Mere Pyare Baba Jaan
Mere Dil mein hai Armaan
Mein bhi Madarse Jaunga
Banunga Mein Hafize Quraan

Maa Baap hein Unke Azeem Bahot
Allah bhi hai Jinpe Kareem Bahot
Bacchon ko Padhake Kalame Khuda
Dee hai Haseen Talim Bahot
Baccha Quran Sunayega
Qabr mein Aelan Aayega
Baap ko Jannat hogi ata
Banunga Mein Hafize Quraan

Aye Mere Pyare Baba Jaan
Mere Dil mein hai Armaan
Mein bhi Madarse Jaunga
Banunga Mein Hafize Quraan

Hifze Quran Sa’adat hai
Donon Jahan ki Rahat hai
Lekin bacchon yaad rakkho
Asal to Iski Ita’at hai
Iske Mutabik Jiwan ho
Warna Aag ka Indhan ho
Yaad rakkho Ruhani bayan
Banoge Tum Hafize Quraan

Aye Mere Pyare Baba Jaan
Mere Dil mein hai Armaan
Mein bhi Madarse Jaunga
Banunga Mein Hafize Quraan

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...102 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...74 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...63 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...49 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...40 views

Leave a Comment