Aya Na Hoga Is Tarha Husn O Shabab Ret Par Naat Lyrics

आया न होगा इस तरह हुस्न-ओ-शबाब रेत पर / Aaya Na Hoga Is Tarah Husn-o-Shabab Ret Par

 

आया न होगा इस तरह हुस्न-ओ-शबाब रेत पर
गुलशन-ए-फ़ातिमा के थे सारे गुलाब रेत पर

जान-ए-बतूल के सिवा कोई नहीं खिला सका
क़तरा-ए-आब के बग़ैर इतने गुलाब रेत पर

जितने सवाल ‘इश्क़ ने आल-ए-रसूल से किए
एक से बढ़ के इक दिया सब ने जवाब रेत पर

‘इश्क़ में क्या लुटाइए, ‘इश्क़ में क्या बचाइए
आल-ए-नबी ने लिख दिया सारा निसाब रेत पर

प्यासा हुसैन को कहूँ इतना तो बे-अदब नहीं
लम्स-ए-लब-ए-हुसैन को तरसा है आब रेत पर

तरसे हुसैन आब को मैं जो कहूँ तो बे-अदब
लम्स-ए-लब-ए-हुसैन को तरसा है आब रेत पर

लज़्ज़त-ए-सोज़िश-ए-बिलाल, शौक़-ए-शहादत-ए-हुसैन
जिस ने लिया यूँही लिया अपना ख़िताब रेत पर

आल-ए-नबी का काम था, आल-ए-नबी ही कर गए
कोई न लिख सका, अदीब ! ऐसी किताब रेत पर

शायर:
अदीब रायपुरी

ना’त-ख़्वाँ:
ज़ुल्फ़िक़ार अली हुसैनी
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी

 

aaya na hoga is tarah husn-o-shabaab ret par
gulshan-e-faatima ke the saare gulaab ret par

jaan-e-batool ke siwa koi nahi.n khila saka
qatra-e-aab ke baGair itne gulaab ret par

jitne sawaal ‘ishq ne aal-e-rasool se kiye
ek se ba.Dh ke ik diya sab ne jawaab ret par

‘ishq me.n kya luTaaiye, ‘ishq me.n kya bachaaiye
aal-e-nabi ne likh diya saara nisaab ret par

pyaasa husain ko kahu.n itna to be-adab nahi.n
lams-e-lab-e-husain ko tarsa hai aab ret par

tarse husain aab ko mai.n jo kahu.n to be-adab
lams-e-lab-e-husain ko tarsa hai aab ret par

lazzat-e-sozish-e-bilaal, shauq-e-shahaadat-e-husain
jis ne liya yunhi liya apna KHitaab ret par

aal-e-nabi ka kaam tha, aal-e-nabi hi kar gae
koi na likh saka, Adeeb ! aisi kitaab ret par

Poet:
Adeeb Raipuri

Naat-Khwaan:
Zulfiqar Ali Hussaini
Owais Raza Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,239 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...919 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...805 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...524 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...482 views

Leave a Comment