बाग़-ए-जन्नत के हैं बेहरे मदह़-ख़्वान-ए-अहल-ए-बैत / Baag-e-Jannat Ke Hain Behre Madh-Khwan-e-Ahl-e-Bait Naat Lyrics

Baag-e-Jannat Ke Hain Behre Madh-Khwan-e-Ahl-e-Bait” Ustaz-e-Zaman Maulana Hasan Raza Khan Bareilvi ka likha hua ek nihayat hi maqbool aur be-bisaal Kalam-e-Ahle-Bait hai.
Is pakiza manqabat mein Ahle-Bait-e-At’haar ki azeem shaan-o-shaukat, unki ismat aur unke dushmanon ke liye waazeh tanbeeh ka bayaan nihayat hi dilerana andaz mein kiya gaya hai.
Aaiye dilon mein Ahle-Bait ki sachhi muhabbat ko taza karne wale is khoobsurat kalam ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan mein adab ke sath padhein.

Naat InformationDetails
Naat TitleBaag-e-Jannat Ke Hain Behre Madh-Khwan-e-Ahl-e-Bait
Poet / WriterMaulana Hasan Raza Khan Bareilvi
CategoryManqabat (Ahle-Bait-e-At’haar A.S.)
Naatkhawan / ReciterVarious Reciters

Naat Lyrics in Roman

baag-e-jannat ke hain behre madh-khwan-e-ahl-e-bait
tum ko muzda naar ka, ai dushmanan-e-ahl-e-bait

kis zabaan se ho bayan-e-izz-o-shaan-e-ahl-e-bait
madh-go-e-mustafa hain madh-khwan-e-ahl-e-bait

unki paaki ka khuda-e-paak karta hai bayan
aaya-e-tatheer se zahir hai shaan-e-ahl-e-bait

mustafa izzat badane ke liye ta’zeem dein
hai buland iqbal tera doodman-e-ahl-e-bait

un ke ghar to be-ijazat jibraeel aate nahin
qadr wale jaante hain qadr-o-shaan-e-ahl-e-bait

phool zakhmon ke khilaye hain hawa-e-dost ne
khoon se seencha gaya hai gulsitan-e-ahl-e-bait

ahl-e-bait-e-paak se gustakhiyan be-bakiyan
la’natullahi-‘alaykum dushmanan-e-ahl-e-bait

be-adab gustakh firqe ko suna de ai hasan
yun kaha karte hain sunni dastan-e-ahl-e-bait

Naat Lyrics in Hindi

बाग़-ए-जन्नत के हैं बेहरे मदह़-ख़्वान-ए-अहल-ए-बैत
तुम को मुज़्दा नार का, ए ! दुश्मनान-ए-अहल-ए-बैत

किस ज़बां से हो बयान-ए-इज़्ज़-ओ-शान-ए-अहल-ए-बैत
मदह़-गो-ए-मुस्तफ़ा हैं मदह-ख़्वान-ए-अहल-ए-बैत

उनकी पाकी का ख़ुदा-ए-पाक करता है बयान
आया-ए-तत़हीर से ज़ाहिर है शान-ए-अहल-ए-बैत

मुस्तफ़ा इज़्ज़त बड़ाने के लिये तअ़ज़ीम दें
है बुलंद इक़बाल तेरा दूदमान-ए-अहल-ए-बैत

उन के घर तो बे-इजाज़त जिब्रईल आते नहीं
क़द्र वाले जानते हैं क़द्र-ओ-शान-ए-अहल-ए-बैत

फूल ज़ख्मों के खिलाए हैं हवा-ए-दोस्त ने
ख़ून से सींचा गया है गुल्सितान-ए-अहल-ए-बैत

अहल-ए-बैत-ए-पाक से गुस्ताख़ियां बे-बाकियां
लअ़नतुल्लाहि-अ़लयकुम दुश्मनान-ए-अहल-ए-बैत

बे-अदब गुस्ताख़ फ़िरक़े को सुना दे ए हसन
यूं कहा करते हैं सुन्नी दास्तान-ए-अहल-ए-बैत

Naat Lyrics in Urdu

باغِ جنت کے ہیں بہرِ مدح خوانِ اہلِ بیت
تم کو مژدہ نار کا اے دشمنانِ اہلِ بیت

کس زباں سے ہو بیانِ عز و شانِ اہلِ بیت
مدح گوئے مصطفیٰ ہیں مدح خوانِ اہلِ بیت

ان کی پاکی کا خدائے پاک کرتا ہے بیان
آیۂ تطہیر سے ظاہر ہے شانِ اہلِ بیت

مصطفیٰ عزت بڑھانے کے لیے تعظیم دیں
ہے بلند اقبال تیرا دودمانِ اہلِ بیت

ان کے گھر تو بے اجازت جبرئیل آتے نہیں
قدر والے جانتے ہیں قدر و شانِ اہلِ بیت

پھول زخموں کے کھلائے ہیں ہوائے دوست نے
خون سے سینچا گیا ہے گلستانِ اہلِ بیت

اہلِ بیتِ پاک سے گستاخیاں بے باکیاں
لعنتہ اللہِ علیکم دشمنانِ اہلِ بیت

بے ادب گستاخ فرقے کو سنا دے اے حسنؔ
یوں کہا کرتے ہیں سنی داستانِ اہلِ بیت

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,977 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,906 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,896 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,499 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,986 views

Leave a Comment