Yeh Hazrat Azam Chishti Sahab Ka Likha Hua Ek Nihayat Hi Pyaara Aur Dilkash Naat E Paak Ka Kalam Hai.
Is Barkat Bhari Naat Sharif Mein Huzoor E Akram Ki Azeem Shaan Aur Unki Bargah E Aqdas Ke Adaab Ko Nihayat Hi Adab Ke Saath Pesh Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Haseen Aur Roohani Kalam Ko Mukammal Taur Par Padh Kar Apne Imaan Ko Taza Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aisa Koi Mehboob Na Hoga Na Kahin Hai |
| Poet / Writer | Azam Chishti |
| Category | Naat E Paak |
| Naatkhawan / Reciter | Zain Shakeel / Abid Rauf Qadri |
Aisa Koi Mehboob Na Hoga Na Kahin Hai Lyrics In Urdu
ایسا کوئی محبوب نہ ہوگا نہ کہیں ہے
بیٹھا ہے چٹائی پہ مگر عرش نشیں ہے
ملتا نہیں کیا کیا دو جہاں کو ترے در سے
اک لفظ نہیں ہے کہ ترے لب پہ نہیں ہے
تو چاہے تو ہر شب ہو مثال شبِ اسریٰ
تیرے لئے دو چار قدم عرش بریں ہے
ہر اک کو میسر کہاں اُس در کی غلامی
اُس در کا تو دربان بھی جبریلِ امیں ہے
رکتے ہیں یہاں آکے قدم اہل نظر کے
اس کوچے سے آگے نہ زماں ہے نہ زمیں ہے
اے شاہِ زمن اب تو زیارت کا شرف دے
بے چین ہیں آنکھیں مری بے تاب جبیں ہے
دل گریہ کناں اور نظر سوئے مدینہ
اعظم ترا انداز طلب کتنا حسیں ہے
Aisa Koi Mehboob Na Hoga Na Kahin Hai Lyrics In Roman
Aisa Koi Mehboob Na Hoga Na Kahin Hai
Baitha Hai Chitayi Pe Magar Arsh Nasheen Hai
Milta Nahi Kya Kya Do Jahan Ko Tire Dar Se
Ik Lafz Nahi Hai Ke Tire Lab Pe Nahi Hai
Tu Chahe To Har Shab Ho Misaal Shab-E-Asra
Tere Liye Do Char Qadam Arsh Bareen Hai
Har Ik Ko Muyassar Kahan Us Dar Ki Ghulami
Us Dar Ka To Darbaan Bhi Jibreel-E-Ameen Hai
Rukte Hain Yahan Aake Qadam Ahl-E-Nazar Ke
Is Kooche Se Aage Na Zaman Hai Na Zameen Hai
Ae Shah-E-Zaman Ab To Ziyarat Ka Sharaf De
Be-Chain Hain Aankhein Meri Be-Tab Jabeen Hai
Dil Girya Kanaan Aur Nazar Soo-E-Madinah
Azam Tira Andaaz Talab Kitna Haseen Hai
Aisa Koi Mehboob Na Hoga Na Kahin Hai Lyrics In Hindi
ऐसा कोई महबूब न होगा न कहीं है,
बैठा है चटाई पे मगर अर्श नशीं है।
मिलता नहीं क्या क्या दो जहाँ को तिरे दर से,
इक लफ़्ज़ नहीं है कि तिरे लब पे नहीं है।
तू चाहे तो हर शब हो मिसाल शब-ए-असरा,
तेरे लिए दो चार क़दम अर्श बरीं है।
हर इक को मुयस्सर कहाँ उस दर की ग़ुलामी,
उस दर का तो दरबान भी जिबरील-ए-अमीं है।
रुकते हैं यहाँ आके क़दम अहल-ए-नज़र के,
इस कूचे से आगे न ज़मां है न ज़मीं है।
ऐ शाह-ए-ज़मन अब तो ज़ियारत का शर्फ़ दे,
बे-चैन हैं आँखें मिरी बे-ताब जबीं है।
दिल गिर्या कनां और नज़र सू-ए-मदीना,
आज़म तिरा अंदाज़-ए-तलब कितना हसीं है।