Aankhon Mein Bas Gaya Hai Madina Huzoor Ka Lyrics
Aankhon Mein Bas Gaya Hai Madina Huzoor Ka
Be Kas Ka Aasra Hai Madina Huzoor Ka
Phir Ja Rahe Hai Ahle Mohabbat Ke Qaafle
Phir Yaad Aa Raha Hai Madina Huzoor Ka
Taskine Jaan Hai Raahte Dil Wajeh Anbasaat
Har Dard Ki Dawa Hai, Madinah Huzoor Ka
Nabiyon Mein Jaise Afzal-o-a’ala Hai Mustafa
Shehron Mein Baadshah Hai Madina Huzoor Ka
Hai Rango Noor Jisne Diya Do Jahaan Ko
Woh Noor Ka Diya Hai, Madinah Huzoor Ka
Jab Se Qadam Pade Hai Risalat Ma’aab Ke
Jannat Se Badh Gaya Hai Madina Huzoor Ka
Har Zarra Zarra Apni Jagah Mahtaab Hai
Kya Jagmaga Raha Hai Madina Huzoor Ka
Qudsi Bhi Chumte Hai Adab Se Yahaan Ki Khaak
Qismat Mein Jhomta Hai Madina Huzoor Ka
Ho Naaz Kyun Na Is Ko Niyazi Naseeb Par
Jis Ko Bhi Mil Gaya Hai Madina Huzoor Ka
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...525 views