AA DIL MAIN TUJHE RAKH LOUN NAAT LYRICS | बे-ख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana
बे-ख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना
आ दिल में तुझे रख लूँ, ऐ जल्वा-ए-जानाना !

इतना तो करम करना, ऐ चश्म-ए-करीमाना !
जब जान लबों पर हो, तुम सामने आ जाना

क्यूँ आँख मिलाई थी, क्यूँ आग लगाई थी
अब रुख़ को छुपा बैठे कर के मुझे दीवाना

जी चाहता है तोहफ़े में भेजूँ मैं उन्हें आँखें
दर्शन का तो दर्शन हो, नज़राने का नज़राना

क्या लुत्फ़ हो महशर में, क़दमों में गिरूँ उन के
सरकार कहें देखो, दीवाना है दीवाना !

क्या लुत्फ़ हो महशर में मैं शिकवे किए जाऊँ
वो हँस के कहे जाएँ दीवाना है दीवाना

मैं होश-ओ-हवास अपने इस बात पे खो बैठा
जब तू ने कहा हँस के, आया मेरा दीवाना

पीने को तो पी लूँगा, पर ‘अर्ज़ ज़रा सी है
अजमेर का साक़ी हो, बग़दाद का मय-ख़ाना

बेदम ! मेरी क़िस्मत में चक्कर हैं इसी दर के
छूटा है न छूटेगा मुझ से दर-ए-जानाना

साक़ी तेरे आते ही ये जोश है मस्ती का
शीशे पे गिरा शीशा, पैमाने पे पैमाना

मा’लूम नहीं, बेदम ! मैं कौन हूँ और क्या हूँ
यूँ अपनों में अपना हूँ, बेगानों में बेगाना


शायर:
बेदम शाह वारसी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
अमजद साबरी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी

 


be-KHud kiye dete hai.n andaaz-e-hijaabaana
aa dil me.n tujhe rakh lu.n, ai jalwa-e-jaanaana !

itna to karam karna, ai chashm-e-kareemaana !
jab jaan labo.n par ho, tum saamne aa jaana

kyu.n aankh milaai thi, kyu.n aag lagaai thi
ab ruKH ko chhupa baiThe kar ke mujhe deewana

jee chaahta hai tohfe me.n bheju.n mai.n unhe.n aankhe.n
darshan ka to darshan ho, nazraane ka nazraana

kya lutf ho mehshar me.n, qadmo.n me.n giru.n un ke
sarkaar kahe.n dekho, deewana hai deewana !

kya lutf ho mehshar me.n mai.n shikwe kiye jaau.n
wo hans ke kahe jaae.n, deewana hai deewana !

mai.n hosh-o-hawaas apne is baat pe kho baiTha
jab tu ne kaha hans ke, aaya mera deewana

peene ko to pee loonga, par ‘arz zara si hai
ajmer ka saaqi ho, baGdaad ka mai-KHaana

Bedam ! meri qismat me.n chakkar hai.n isi dar ke
chhooTa hai na chhooTega mujh se dar-e-jaanaana

saaqi tere aate hi ye josh hai masti ka
sheeshe pe gira sheesha, paimaane pe paimaana

maa’loom nahi.n, Bedam ! mai.n kaun hu.n aur kya hu.n
yu.n apno me.n apna hu.n, begaano.n me.n begaana


Poet:
Bedam Shah Warsi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Amjad Sabri
Ahmad Raza Qadri
Hafiz Ahmed Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,134 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...911 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...781 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...520 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...477 views

Leave a Comment