Saba Madine Me Mustafa Se Hum Bekason Ka Salam Kehna
Saba Madine Me Mustafa Se, Hum Bekason Ka Salam Kehna,
Nahi Hai Koi Bajuz Tumhare, Hamara Itna Payam Kehna
Main Papiyada Hun Ya Muhammad, Sambhaal Lijiye Sambhaal Lijiye,
Siwa Tumhare Kise Pukare, Tumhara Adna Ghulam Kehna
Nisar Tere, Fida Main Tujh Par, Main Tere Sadqe, Main Tere Qurban,
Guzar Rahi Hai Jo Kuch Bhi Haalat, Saba Nabi Se Tamam Kehna
Jagah Madine Me Wo Ata Ho, Tumhare Raoze Ka Samna Ho,
Wahin Pe Rehne Ki Aarzoo Hai, Wahin Ka Mujhko Ghulam Kehna
Na Jee Rahe Hain, Na Mar Rahe Hain, Tadap Rahe Hain, Bilak Rahe Hain,
Nahin Hai Murda, Hain Phir Bhi Zinda, Tumhara Lekar Ye Naam Kehna
Saba Madine Me Mustafa Se, Hum Bekason Ka Salam Kehna,
Nahi Hai Koi Siwa Tumhare, Hamara Itna Payam Kehna
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views