MADINE KE WAALI DO ALAM KE DATA NAAT LYRICS | Barkate Raza

मदीने के वाली दो आलम के दाता | मेरी भी नज़र सू-ए-तयबा लगी है / Madine Ke Wali Do Aalam Ke Data | Meri Bhi Nazar Soo-e-Taiba Lagi Hai
मदीने के वाली ! दो ‘आलम के दाता !
मेरी भी नज़र सू-ए-तयबा लगी है
मैं मोहताज हूँ इक निगाह-ए-करम का
तुम्हारे करम पर मेरी ज़िंदगी है

है वादी-ए-ऐमन पे ख़ालिक़ की रहमत
मुसल्लम है बैत-उल-मुक़द्दस की ‘अज़मत
मगर क़ल्ब-ए-मुज़्तर को है जिस की हाजत
वो, सुल्तान-ए-तयबा ! तुम्हारी गली है

तुम्हारे ही टुकड़ों पे मेरा गुज़ारा
तुम्हारे ही दरबार का हूँ मैं मँगता
जो तुम से न माँगूँ तो फिर किस से माँगूँ
तुम्हारा तो सारा घराना सख़ी है

यहाँ रह के जीना है मरने से बद-तर
वहाँ जा के मरना है जीने से बेहतर
मुयस्सर जो हो उन के क़दमों में रह कर
वोही ज़िंदगी अस्ल में ज़िंदगी है

फ़क़ीरी का मुझ में नहीं है सलीक़ा
न आता है कुछ माँगने का तरीक़ा
जो तुझ से न माँगूँ तो फिर किस से माँगूँ
तुम्हारे करम पर मेरी ज़िंदगी है

मदीने की राहों पर सदक़े दिल-ओ-जाँ
मदीने की गलियों पे सौ जाँ से क़ुर्बां
नुजूम-ए-फ़लक को कहाँ वो मुयस्सर
मदीने के ज़र्रों में जो दिल-कशी है

हज़ारो ही मय-ख़्वार तयबा में जा कर
शब-ओ-रोज़ पीते हैं ‘इरफ़ाँ के सागर
नहीं कोई जाता है तिश्ना, सिकंदर !
ये साक़ी-ए-क़ौसर की दरिया-दिली है

बना लें जिसे अपना महबूब-ए-दावर
तो बिगड़ी भी बन जाए उस की, सिकंदर !
निगाह-ए-करम उन की पड़ जाए जिस पर
समझ लो के खोटी भी उस की खरी है


ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
सय्यिद फ़सीहुद्दीन सोहरवर्दी

 


madine ke waali ! do ‘aalam ke daata !
meri bhi nazar soo-e-tayba lagi hai
mai.n mohtaaj hu.n ik nigaah-e-karam ka
tumhaare karam par meri zindagi hai

hai waadi-e-aiman pe KHaaliq ki rehmat
musallam hai bait-ul-muqaddas ki ‘azmat
magar qalb-e-muztar ko hai jis ki haajat
wo, sultaan-e-tayba ! tumhaari gali hai

tumhaare hi Tuk.Do.n pe mera guzaara
tumhaare hi darbaar ka hu.n mai.n mangta
jo tum se na maangu.n to phir kis se maangu
tumhaara to saara gharaana saKHi hai

yahaa.n reh ke jeena hai marne se bad-tar
wahaa.n jaa ke marna hai jeene se behtar
muyassar jo ho un ke qadmo.n me.n reh kar
wohi zindagi asl me.n zindagi hai

faqeeri ka mujh me.n nahi.n hai saleeqa
na aata hai kuchh maangne ka tareeqa
jo tujh se na maangu.n to phir kis se maangu.n
tumhaare karam par meri zindagi hai

madine ki raaho.n par sadqe dil-o-jaa.n
madine ki galiyo.n pe sau jaa.n se qurbaa.n
nujoom-e-falak ko kahaa.n wo muyassar
madine ke zarro.n me.n jo dil-kashi hai

hazaaro hi mai-KHwaar tayba me.n jaa kar
shab-o-roz peete hai.n ‘irfaa.n ke saagar
nahi.n koi jaata hai tishna, Sikandar !
ye saaqi-e-kausar ki dariya-dili hai

bana le.n jise apna mehbob-e-daawar
to big.Di bhi ban jaae us ki, Sikandar !
nigaah-e-karam un ki pa.D jaae jis par
samajh lo ke khoTi bhi us ki khari hai


Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Syed Fasihuddin Soharwardy

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,918 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...898 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...705 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...514 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...473 views

Leave a Comment