KHILA MERE DIL KI GALI GHOUS E AAZAM NAAT LYRICS

KHILA MERE DIL KI GALI GHOUS E AAZAM NAAT LYRICS

 

Khila Mere Dil Ki Gali Ghous E Aazam
Mita Qalb Ki Be Kali Ghous E Aazam

Mere Chand Mai Sadqe Aaja Idhar Bhi
Chamak Uthhe Dil Ki Gali Ghous E Aazam

Tere Rab Ne Maalik Kiya Tere Jad Ko
Tere Ghar Se Duniya Pali Ghous E Aazam

Wo Hai Kaun Aisa Nahi Jisne Paaya
Tere Darr Pe Duniya Dhali Ghous E Aazam

Kaha Jisne Ya Ghous Aghisni To Damm Me
Bar-Aayi Musibat Tali Ghous E Aazam

Nahi Koi Bhi Aisa Fariyadi Aaqa
Khabar Jiski Tumne Na Li Ghous E Aazam

Meri Rouzi Mujhko Ataa Kar De Aaqa
Tere Darr Se Duniya Ne Li Ghous E Aazam

Na Maangu Me Tujhse To Fir Kis Se Maangu
Kahi Aur Bhi Hai Chali Ghous E Aazam

Sadaa Gar Yaha Mai Na Du To Kaha Du
Koi Aur Bhi Hai Gali Ghous E Aazam

Jo Qismat Ho Meri Buri Achhi Kar De
Jo A’adat Ho Badd Kar Bhali Ghous E Aazam

Tera Martaba A’ala Kyo Ho Na Maula
Tu Hai Ibn E Maula Ali Ghous E Aazam

Qadam Gardan E Awliya Par Hai Tera
Hai Tu Rabb Ka Aisa Wali Ghous E Aazam

Jo Doobi Thi Kashti Wo Damm Me Nikali
Tujhe Aisi Qudrat Mili Ghous E Aazam

Hamara Bhi Beda Laga Do Kinare
Tumhe Nakhudayi Mili Ghous E Aazam

Tabahi Se Naav Hamari Bachaa Do
Hawa E Mukhalif Chali Ghous E Aazam

Fida Tumpe Ho Jaaye ‘Noori’ E Muztar
Ye Hai Uski Khwaish Dili Ghous E Aazam

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views

Leave a Comment