KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS

KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS

 

Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat,
Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali
Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali,
Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali,

Mein Pehlay Pehal Jab Madinaa Gya Tha,
To Thi Dill Ki Halat Tadapp Janay Wali,
Wo Darbaar Sach Much Mere Samnay Tha,
Abhi Tak Tasawwur Tha Jiss Ka Khiali,

Main Ek Haath Say Dill Sanbhalay Huay Tha,
To Thi Doosray Haath Rozay Ki Jaali,
Dua Kay Liye Hath Uthte To Kesay!!!
Na Yeh Hath Khaali, Naa Woh Haath Khaali,

Jo Poocha Hai Tum Nay, Kay Main Nazr Karnay
Ko Kia Lay Gya Tha, Tou Tafseel Sun Lo,
Tha Naaton Ka Ik Haar, Ashkon Kay Moti,
Daroodon Ka Gajra, Salamon Ki Daali,

Dhani Apni Qismat Ka Hai To Wohi Hai,
Deyar E Nabi (S.A.W.W) Jiss Nay Aankhon Se Dekha,
Muqaddar Hai Sacha Muqaddar Ussi Ka,
Nigaah E Karam Jiss Pe Aaqa(S.Aw.W) Nay Daali,

Main Uss Aastaan E Haram Ka Gada Hoon,
Jahan Sir Jhukatay Hain Shaahaan E Aalam,
Mujhay Taajdaaron Se Kamm Mat Samajhna,
Mera Sir Hai Shayaan E Taaj E Bilaali,

Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat,
Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali
Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali,
Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali,

 

KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS
KHULA HAI SABHI KAY LIYE BAAB E REHMAT NAAT LYRICS

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,143 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,950 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,928 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,586 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,034 views

Leave a Comment