SHAH-E-ARSH-E-AA’LA SALAAMUN ALAIKUM LYRICS

SHAH-E-ARSH-E-AA’LA SALAAMUN ALAIKUM

Shah-e-‘Arsh-e-Aa’la Salaamun Alaikum
Habeeb-e-Khudaaya Salaamun Alaikum

Mere Maah-e-Taiba Salaamun Alaikum
Shahanshah-e-Bat’ha Salaamun Alaikum

 

Khabar Jin Ke Aane Ki Thi Mud’datoñ Se
Huwa Jalwa Farmaa Salaamun Alaikum

Jo Tashreef Laaye Wo Sultaan-e-‘Aalam
To Kaa’ba Pukaara Salaamun Alaikum

Do Aalam Ka Aaqa O Maula Bana Kar
Tumheñ Haq Ne Bheja Salaamun Alaikum

Ye Aawaaz Har Samt Se Aa Rahi Hai
Shah-e-Deen-o-Dunya Salaamun Alaikum

Taman’na Hai Apni Madine Pahunch Kar
Kahuñ Pesh-e-Rauza Salaamun Alaikum

Dua Hai Ke Jab Waqt Ho Jaañ-Kanee Ka
Ho Lab Par Wazifa Salaamun Alaikum

JAMEEL Apne Aaqa Shafi’-ul-Umam Par
Par’he Jaa Hamesha Salaamun Alaikum

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,284 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,981 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,950 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,632 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,108 views

Leave a Comment