Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole

आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले / Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole
आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले
वो दिन जो मदीने में गुज़ारे नहीं भूले

फिर कीजे करम, या नबी ! हसनैन का सदक़ा
शहर आप का ये दर्द के मारे नहीं भूले

बेचैन है, इक बार उठे फिर वही उँगली
महताब को आक़ा के इशारे नहीं भूले

गिर जाऊँ मैं जी चाहे मेरा फिर से भँवर में
आक़ा ने दिए थे जो सहारे नहीं भूले

इस्लाम के गुलशन को बचाया था जिन्हों ने
कर्बल को वो ज़हरा के दुलारे नहीं भूले

तयबा की हसीं रात में, फ़ारूक़ी ! हमारी
तक़दीर के चमके जो सितारे नहीं भूले

शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी

ना’त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
क़ारी शाहिद महमूद

 

aankho.n ko wo pur-kaif nazaare nahi.n bhoole
wo din jo madine me.n guzaare nahi.n bhoole

phir keeje karam, ya nabi ! hasnain ka sadqa
shehr aap ka ye dard ke maare nahi.n bhoole

bechain hai, ik baar uThe phir wahi ungli
mahtaab ko aaqa ke ishaare nahi.n bhoole

gir jaau.n mai.n jee chaahe mera phir se bhanwar me.n
aaqa ne diye the jo sahaare nahi.n bhoole

islaam ke gulshan ko bachaaya tha jinho.n ne
karbal ko wo zahra ke dulaare nahi.n bhoole

tayba ki hasee.n raat me.n, Faarooqi ! hamaari
taqdeer ke chamke jo sitaare nahi.n bhoole

Poet:
Sohail Kaleem Farooqi

Naat-Khwaan:
Asad Raza Attari
Qari Shahid Mehmood

Leave a Comment