baba mehfil sajaaye baithe hain lyrics

jo log gardish e dauran se maat khaate hain
fareed ud din hi unko gale lagaate hain
ata ho sadke e saabir ba haq e qutb uddin
faqeer aapke kabse sada lagaate hain

waliyon se saji dekhi baaraat hai baba ki
dulha bane hain baba kya baat hai baba ki

baba mehfil sajaaye baithe hain
aye sitaaron chalo salaam karo

aaj saabir bhi aaye baithe hain
gham ke maaron chalo salaam karo

anwaar baraste hain dil par
barish hai karam ki mehfil par
taiba se mere baba ke liye
sarkar e madina aaye hain

mere baba piya ke aangan mein
aaj phir chishtiya chaman waale
saari duniya bhulaaye baithe hain
aye bahaaron chalo salaam karo

dekhlo chaandni ki lehron pe
mere baba ki nau aayi hai
noor mein wo nahaaye baithe hain
aye kinaaron chalon salaam karo

kafila rok do zahoor yahin
hamsafar aaj mere baba hain
manzilein aaj lai baithe hain
raahguzaron chalo salaam karo

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,750 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...937 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...889 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...606 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...532 views

Leave a Comment