ik dānish-e-nūrānī ik dānish-e-burhānī

ik dānish-e-nūrānī ik dānish-e-burhānī
hai dānish-e-burhānī hairat kī farāvānī

is paikar-e-ḳhākī meñ ik shai hai so vo terī
mere liye mushkil hai is shai kī nigahbānī

ab kyā jo fuġhāñ merī pahuñchī hai sitāroñ tak
tū ne hī sikhā.ī thī mujh ko ye ġhazal-ḳhvānī

ho naqsh agar bātil takrār se kyā hāsil
kyā tujh ko ḳhush aatī hai aadam kī ye arzānī

mujh ko to sikhā dī hai afrañg ne zindīqī
is daur ke mullā haiñ kyuuñ nañg-e-musalmānī

taqdīr shikan quvvat baaqī hai abhī is meñ
nādāñ jise kahte haiñ taqdīr kā zindānī

tere bhī sanam-ḳhāne mere bhī sanam-ḳhāne
donoñ ke sanam ḳhākī donoñ ke sanam faanī

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,574 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,829 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,732 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,190 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,896 views

Leave a Comment