Nikhri Nikhri Pyari Pyari Mustafa ki Guftagu Lyrics

Nikhri Nikhri Pyari Pyari Mustafa ki Guftagu Lyrics

Nikhri Nikhri Pyari Pyari Mustafa ki Guftagu
Aabe Kausar se bhi Meethi Mustafa ki Guftagu

Jisko Sun kar Apna Har gham bhul jate hein sabhi
Qalb ko tasqeen deti Mustafa ki Guftagu

Noor ki kirnein nikalti Munh se jab bhi Bolte
Noor se Bharpur hoti Mustafa ki Guftagu

Keh uthe Besakhta sun ker Fasihane Arab
Ho nahi sakti bashar ki Mustafa ki Guftagu

Baat sunte the Tahammul se Har ek Insan ki
Dil kisi ka na dukhati Mustafa ki Guftagu

Mustafa ki Guftagu pe Guftagu Ham kya karein
Ham hein Adna Aur hai Aali Mustafa ki Guftagu

Hashr mein aayi nida Jaye Musafir Khuld mein
Ke Jahan mein Isne ki thi Mustafa ki Guftagu

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,492 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,526 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,264 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,178 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,069 views

Leave a Comment