नात सरकार की पढ़ता हूँ मैं / Naat Sarkar Ki Padhta Hoon Main

नात सरकार की पढ़ता हूँ मैं / Naat Sarkar Ki Padhta Hoon Main
ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी
इक तेरा नाम वसीला है मेरा
रंज-ओ-ग़म में भी इसी नाम से राहत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

उन को मुख़्तार बनाया है मेरे मौला ने
ख़ुल्द में बस वही जा सकता है
जिस को हसनैन के नाना की इजाज़त होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

ये सुना है कि बहुत घोर-अँधेरी होगी
क़ब्र का ख़ौफ़ न रखना, ऐ दिल !
वहाँ सरकार के चेहरे की ज़ियारत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

कभी यासीं, कभी ताहा, कभी वल्लैल आया
जिस की क़समें मेरा रब खाता है
कितनी दिलकश मेरे महबूब की सूरत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

हश्र का दिन भी ‘अजब देखने वाला होगा
ज़ुल्फ़ लहराते वो जब आएँगे
फिर क़यामत पे भी इक और क़यामत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

दो जहाँ में उसे फिर कौन पनाह में लेगा
होगा रुस्वा वो सर-ए-हश्र जिसे
सय्यिदा ज़हरा के बच्चों से ‘अदावत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

उन की चौखट पे पड़े हैं तो बड़ी मौज में हैं
लौट के आएँगे जब उस दर से
मेरे दिल ! तू ही बता क्या तेरी हालत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

रश्क से दूर खड़े देखते होंगे ज़ाहिद
जब सर-ए-हश्र गुनहगारों पर
मेरे आक़ा का करम होगा, ‘इनायत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

मेरा दामन तो गुनाहों से भरा है, अल्ताफ़ !
इक सहारा है कि मैं उन का हूँ
इसी निस्बत से सर-ए-हश्र शफ़ा’अत होगी

ना’त सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी

शायर:
सय्यिद अल्ताफ़ शाह काज़मी

ना’त-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी
उमेर मुनीर क़ादरी
सय्यिदा अरीबा फ़ातिमा

 

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi
ik tera naam waseela hai mera
ranj-o-Gam me.n bhi isi naam se raahat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

un ko muKHtaar banaaya hai mere maula ne
KHuld me.n bas wohi ja sakta hai
jis ko hasnain ke naana ki ijaazat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

ye suna hai ki bahut ghor-andheri hogi
qabr ka KHauf na rakhna, ai dil !
wahaa.n sarkaar ke chehre ki ziyaarat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

kabhi yasee.n, kabhi taaha, kabhi wallail aaya
jis ki qasme.n mera rab khaata hai
kitni dilkash mere mahboob ki soorat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

hashr ka din bhi ‘ajab dekhne waala hoga
zulf lehraate wo jab aaenge
phir qayaamat pe bhi ik aur qayaamat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

do jahaa.n me.n use phir kaun panaah me.n lega
hoga ruswa wo sar-e-hashr jise
sayyida zahra ke bachcho.n se ‘adaawat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

rashk se door kha.De dekhte honge zaahid
jab sar-e-hashr gunahgaaro.n par
mere aaqa ka karam hoga, ‘inaayat hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

mera daaman to gunaaho.n se bhara hai, Altaf !
ik sahaara hai ki mai.n un ka hu.n
isi nisbat se sar-e-hashr shafaa’at hogi

naa’t sarkaar ki pa.Dhta hu.n mai.n
bas isi baat se ghar me.n mere rahmat hogi

Poet:
Syed Altaf Shah Kazmi

Naat-Khwaan:
Milad Raza Qadri
Umer Munir Qadri
Syeda Areeba Fatima

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...279 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...128 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...128 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...115 views

Leave a Comment