Tum Chalo Hum Chale Sab Madine Chale
Jaanibe Taiba Sab Ke Safeene Chale
Maikashon Aao Aao Madine Chale
Baadaye Khuld Ke Jaam Peene Chale
Zindagi Ab Sare Zindagi Aa Gayi
Aakhri Waqt Hai Ab Madine Chale
Unki Shaane Karam Ki Kashish Dekhiye
Kaasa Le Kar Kaha Khusraweene Chale
Jee Gaya Woh Madine Mein Jo Mar Gaya
Aao Hum Bhi Waha Mar Ke Jeene Chale
Khaake Taiba Mein Apni Jagah Ho Gayi
Khoob Muzda Sunaaya Khushi Ne Chale
Raahe Taiba Mein Jab Naatawaan Reh Gaye
Dil Ko Kheencha Kaha Be Kalee Ne Chale
Agle Pichle Sabhi Khuld Mein Chal Diye
Roze Mehshar Kaha Jab Nabi Ne Chale
Be Takalluf Shahe Do Jahan Chaldiye
Sadagi Sai Kaha Jab Kisi Nai Chale
Akhtar E Khasta Bhi Khuld Mai Chal Diya
Jab Sadaa Di Use Murshidi Ne Chale
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views