Main Tera Faqeer Malang Khuda Lyrics

Main tera faqeer malang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Khushbu ki tarah har chand rahun
Teri mutthi me hi band rahun

Teri yaad se behara-mand rahun
Gum tujh me teri saugandh rahun

Dam dam tu mere sang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Main tera faqeer malang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Tu din me hai tu raat me hai
Har phool me hai har paat me hai

Meri soch mere naghmaat me hai
Meri rooh meri me hai meri zaat me hai

Tera noor tera ahang khuda
Mujhe apne rang me rang do khuda

Main tera faqeer malang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Mera zahir andar jaisa ho
Manzar pasmanzar jaisa ho

Mera ishq samandar jaisa ho
Aur tere payambar jaisa ho

Mere jeene ka har dhang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Main tera faqeer malang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Teri rahmat yun apnaye mujhe
Aankhon par har waqt bithaye mujhe

Tujh bin ek saans na aaye mujhe
Shaitan agar bahakaye mujhe

Karun apne aap se jang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Main tera faqeer malang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Seena ho mera sheeshe ki tarah
Aur beenaayi ho jharne ki tarah

Aawaz bhi shoale ki tarah
Chamkun main sada heere ki tarah

Mujhe lagene na paye zang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Main tera faqeer malang khuda
Mujhe apne rang me rang khuda

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,929 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,587 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

Leave a Comment