Kyun Kar Na Hon Meyar E Sakha Fatima Zahra Lyrics

क्यूँ कर न हों मेयार-ए-सख़ा फ़ातिमा ज़हरा / Kyun Kar Na Hon Meyar-e-Sakha Fatima Zahra
क्यूँकर न हों मे’यार-ए-सख़ा फ़ातिमा ज़हरा
हैं दुख़्तर-ए-महबूब-ए-ख़ुदा फ़ातिमा ज़हरा

हैं नूर-ए-मुहम्मद, ब-ख़ुदा ! फ़ातिमा ज़हरा
महशर में हैं रहमत की घटा फ़ातिमा ज़हरा

मादर हैं वो ज़ैनब की, हुसैन और हसन की
हैं आल-ए-मुहम्मद की रिदा फ़ातिमा ज़हरा

पूछा जो किसी ने कि हैं ख़ातून-ए-जिनाँ कौन ?
आहिस्ता से रिज़वाँ ने कहा, फ़ातिमा ज़हरा

एक एक नज़र हामिल-ए-सद-लुत्फ़-ओ-करम है
हैं वारिस-ए-फ़ैज़ान-ओ-‘अता फ़ातिमा ज़हरा

नाम उन का है इक्सीर प-ए-रद्द-ए-बलिय्यात
हैं दर्द की मेरे भी दवा फ़ातिमा ज़हरा

औसाफ़-ए-हमीदा में वो मुमताज़ हैं सब से
हैं जुमला ख़वातीं से जुदा फ़ातिमा ज़हरा

देती है वफ़ा-ए-हसनैन इस की शहादत
हर लम्हा थीं राज़ी ब-रज़ा फ़ातिमा ज़हरा

अब तो है, नसीर ! उन से ‘अक़ीदत का ये ‘आलम
हर हाल में है विर्द मेरा, फ़ातिमा ज़हरा

शायर:
पीर नसीरुद्दीन नसीर

ना’त-ख़्वाँ:
ख़ालिद हसनैन ख़ालिद

 

kyu.n-kar na ho.n me’yaar-e-saKHa faatima zahra
hai.n duKHtar-e-mahboob-e-KHuda faatima zahra

hai.n noor-e-muhammad, ba-KHuda ! faatima zahra
mehshar me.n hai.n rehmat ki ghaTa faatima zahra

maadar hai.n wo zainab ki, husain aur hasan ki
hai.n aal-e-muhammad ki rida faatima zahra

poochha jo kisi ne ki hai.n KHaatoon-e-jina.n kaun ?
aahista se rizwaa.n ne kaha, faatima zahra

ek ek nazar haamil-e-sad-lutf-o-karam hai
hai.n waaris-e-faizaan-o-‘ata faatima zahra

naam un ka hai ikseer pa-e-radd-e-baliyyaat
hai.n dard ki mere bhi dawa faatima zahra

ausaaf-e-hameeda me.n wo mumtaaz hai.n sab se
hai.n jumla KHawaatee.n se juda faatima zahra

deti hai wafa-e-hasnain is ki shahaadat
har lamha thi.n raazi ba-raza faatima zahra

ab to hai, Naseer ! un se ‘aqeedat ka ye ‘aalam
har haal me.n hai wird mera, faatima zahra

Poet:
Pir Naseeruddin Naseer

Naat-Khwaan:
Khalid Hasnain Khalid

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...291 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...141 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...139 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...129 views

Leave a Comment