ilm o fan ke rāz-e-sar-basta ko vā kartā huā
vo mujhe jab bhī milā hai tarjuma kartā huā
sirf ehsās-e-nadāmt ke sivā kuchh bhī nahīñ
aur aisā bhī magar vo bār-hā kartā huā
jaane kin hairāniyoñ meñ hai ki ik muddat se vo
ā.īna-dar-ā.īna-dar-ā.īna kartā huā
kyā qayāmat-ḳhez hai us kā sukūt-e-nāz bhī
ek aalam ko magar vo lab-kushā kartā huā
āgahī aaseb kī mānind raqsāñ har taraf
maiñ ki har dām-e-shunīdan ko sadā kartā huā
ek merī jaan ko andeshe sau sau tarah ke
ek vo apne liye sab kuchh ravā kartā huā
haal kyā pūchho ho ‘manzar’ kā vo dekho us taraf
saarī duniyā se alag apnī sanā kartā huā
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,633 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,568 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,289 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,194 views