Ankhon Ko Noor Dil Ko Mukammal Khushi Mili Lyrics

Ankhon Ko Noor Dil Ko Mukammal Khushi Mili Lyrics

Tanhayi Mein Fariyad Toh Kar Sakta Hoon
Veerane Ko Aabaad Toh Kar Sakta Hoon
Jab Chaahoon Tumhein Mil Nahi Sakta Lekin
Jab Chaahoon Tumhein Yaad Toh Kar Sakta Hoon

Tu Nishan E Benishan Hai
Tu Bahar E Sarmadi Hai
Tera Dekhna Ibaadat
Teri Yaad Bandagi Hai

Ankhon Ko Noor Dil Ko Mukammal Khushi Mili
Tum Mil Gaye To Mujh Ko Nayi Zindagi Mili

Sab Kuch Khuda Se Maang Liya Tujhko Maang Ke
Uthte Nahi Hain Haath Mere Is Dua Ke Baad

Ahle Talab Hain Dair O Haram Ke Firaq Mein
Main Khushnaseeb Hoon Mujhe Teri Gali Mili

Saqi Teri Nigah Karam Ko Main Kya Kahoon
Ahle Khirad Ko Hosh Mujhe Bekhudi Mili

Uske Junoon E Shauq Pe Dono Jahaan Nisaar
Jisko Teri Nigah Se Deewanagi Mili

Usko Mili Hai Ishq Mein Meraj E Bandagi
Sajdon Ke Waaste Jise Chaukhat Teri Mili

Aye Husn E Yaar Jab Se Lagi Meri Tujh Se Lauh
Har Anjuman Mein Mujhko Teri Roshni Mili

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,580 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,830 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,735 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,206 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,900 views

Leave a Comment