अब्रे करम गेसुए मुहम्मद

Naat Lyrics in Roman Urdu:
Abr e Karam Gesoo-e-Muhammad
Dono Hram Abro E Muhammad

Sub ki Nazr hy So E Kaabah
Kaabah ta kay hey Roa E Muhammad

Kaabay ko kis ney banaaya Qiblah,
Kaabay ka Kaabah Roo E Muhammad

Sajda e Sar hey Soa E Kaabah
Sajda-e-Dil hey Soa E Muhammad

Saray Chaman men kis ki Khushbo
Khushbo hy Khushbo-e- Muhammad

Kis ki Chamak hey Peykar-e- Gul men
Gul men Khila hey Roo -e- Muhammad

Dharay chaly her Ungli se Unki,
Dekho wo Nikli Jo -e-Muhammad

Sub se Anokha Mo-e-Muhammad
Sub se Nirali Ko-e-Muhammad

Kis ka Moo deeta hey Gawahi,
Mo-e-Muhammad Mo-e-Muhammad

Zinda hy Wallah Zindaa hy Wallah
Jaan Do Aalam Ro-e-Muhammad

Rashk-e-Tayba kia hey dikhaun?
Dekho Qad-e-Dil Jo-e-Muhammad,

Bheeni Bheeni, Khushbu Lahki,
Khul gaey jab Gesu-e-Muhammad,

ye raah Mehki woh raah mehki,
Khul gaey jab Gesu-e-Muhammad

Akhter-e-Khasta Chal dey Jinaan ko,
Baag-e-Jinaan hey Ko-e-Muhammad

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,656 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,845 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,792 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,272 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,912 views

Leave a Comment