Qadri Dulha Chishti Dulha Manqabat Lyrics

Qadri dulha Chishti dulha lyrics

Qadri dulha Chishti dulha aaye more angna
Aaye more angna
Ek Jilani ek Ajmeri More do do kangna
Aaye more angna

Gous pe kurban dil hi aankh fidaye khwaja
Gous pe sadke hasti, Rooh baraye khwaja
Hath me hai dono ka daman pucho meri tarng na
Aaye more angna…..

Dil kahe Khwaja Khwaja lab pr Gous ki batein
Masti me doobe hai mere din meri ratein
Unki dhun hi meri dhun hai or koi bhaye dhang na
Aaye more angna..

Chaht me marta hu mar mar ke jeeta hu
Chishtiya paymane me qadri may pita hu
Dekh ke meri masti fir kyu hogi duniya dang na…
Aaye more angna angna

Aale Nabi se paya maine Nabi ka sadka
Diya Ali walo ne mujhko Ali ka sadka
Ab na kami kherat me hogi hoga daman tang na
Aaye more angna

Hui bado se nisbat me hu kismat wala
Khwaja o Gous ne mujko apne rang me dhala
Chishti Qadri rang ke sadke bhaye or koi rang na
Aaye more angna…

Qadri diwana hu Chishtiya mastana hu
Payam do shamo ka me to parwana hu
Rahe Ishq pe chal nikla hu waqt chale kyu sang na
Aaye more angna..

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,492 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,526 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,264 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,178 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,069 views

Leave a Comment