Ishq-e-haqeeqi aur sufiyaana rang se sabaq daiti yeh nihayat hi maqbool aur haseen qawwali,
Ustad Nusrat Fateh Ali Khan sahib ke lajawab aur asardaar andaaz me dhal kar dilon me utar jati hai,
Har ek sher me mahboob ki tareef, rukh o zulf ka haseen zikr aur roohani be-khudi ka lajawab asar maujood hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Zulfon Ne Teri Le Liye Imaan Hazaaron |
| Poet / Writer | Traditional / Various Poets |
| Category | Sufi Kalam / Qawwali |
| Naatkhawan / Reciter | Ustad Nusrat Fateh Ali Khan |
Naat Lyrics in Roman
tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon
veerane ko aabaad to kar sakta hoon
jab chahoon tumhein mil nahi sakta hoon
jab chahoon tumhein yaad to kar sakta hoon
mujhe kya teri bahein mil gayi hain
zamaane se panahein mil gayi hain
mile hain kya tere naqsh-e-kafe-paa
tere milne ki raahein mil gayi hain
hua hoon be-niyaaz-e-dair-o-kaaba
tere milne ki rahein mil gayi hain
saari duniya ke haseen ek taraf
aap ka rooh e mubeen ek taraf
kaaba e dil mein saja li hamne
teri tasveer kahin ek taraf
zulfon ne teri le liye imaan hazaaron
aariz ne tere de diye quran hazaaron
le deke teri zulf ne imaan hazaaron
allah banaye hain musalmaan hazaaron
padh jaati hai jab ek nazar aap ke rukh par
padh leti hain aankhen meri quran hazaaron
Naat Lyrics in Hindi
तन्हाई में फ़रियाद तो कर सकता हूँ
वीराने को आबाद तो कर सकता हूँ
जब चाहूँ तुम्हें मिल नहीं सकता हूँ
जब चाहूँ तुम्हें याद तो कर सकता हूँ
मुझे क्या तेरी बाहें मिल गयी हैं
ज़माने से पनाहें मिल गयी हैं
मिले हैं क्या तेरे नक़्श-ए-कफ़-ए-पा
तेरे मिलने की राहें मिल गयी हैं
हुआ हूँ बे-नियाज़-ए-दैर-ओ-काबा
तेरे मिलने की राहें मिल गयी हैं
सारी दुनिया के हसीं एक तरफ़
आप का रू-ए-मुबीं एक तरफ़
काबा-ए-दिल में सजा ली हमने
तेरी तस्वीर कहीं एक तरफ़
ज़ुल्फ़ों ने तेरी ले लिए ईमान हज़ारों
आरिज़ ने तेरे दे दिए क़ुरान हज़ारों
ले देके तेरी ज़ुल्फ़ ने ईमान हज़ारों
अल्लाह बनाए हैं मुसलमान हज़ारों
पड़ जाती है जब एक नज़र आप के रुख़ पर
पढ़ लेती हैं आँखें मेरी क़ुरान हज़ारों
Naat Lyrics in Urdu
تنہائی میں فریاد تو کر سکتا ہوں
ویرانے کو آباد تو کر سکتا ہوں
جب چاہوں تمہیں مل نہیں سکتا ہوں
جب چاہوں تمہیں یاد تو کر سکتا ہوں
مجھے کیا تیری باہیں مل گئی ہیں
زمانے سے پناہیں مل گئی ہیں
ملے ہیں کیا تیرے نقشِ کفِ پا
تیرے ملنے کی راہیں مل گئی ہیں
ہوا ہوں بے نیازِ دیر و کعبہ
تیرے ملنے کی راہیں مل گئی ہیں
ساری دنیا کے حسیں ایک طرف
آپ کا روئے مبیں ایک طرف
کعبۂ دل میں سجا لی ہم نے
تیری تصویر کہیں ایک طرف
زلفوں نے تیری لے لیے ایمان ہزاروں
عارض نے تیرے دے دیے قرآن ہزاروں
لے دے کے تیری زلف نے ایمان ہزاروں
اللہ بنائے ہیں مسلمان ہزاروں
پڑ جاتی ہے جب ایک نظر آپ کے رخ پر
پڑھ لیتی ہیں آنکھیں میری قرآن ہزاروں