हुसैन जैसा शहीद-ए-आ’ज़म जहाँ में कोई हुवा नहीं है / Husain Jaisa Shaheed-e-Aa’zam Jahaan Mein Koi Huwa Nahin Hai

हुसैन जैसा शहीद-ए-आ’ज़म जहाँ में कोई हुवा नहीं है / Husain Jaisa Shaheed-e-Aa’zam Jahaan Mein Koi Huwa Nahin Hai
हुसैन जैसा शहीद-ए-आ’ज़म जहाँ में कोई हुवा नहीं है
छुरी के नीचे गला है लेकिन किसी से कोई गिला नहीं है

‘अदू थे जब सर पे तेग़ तोले, हुसैन सज्दे में जा के बोले
मदीने वालो ! गवाह रहना, नमाज़ मेरी क़ज़ा नहीं है

पुकारे ‘अब्बास, ए सकीना ! मैं पानी लाऊँगा ख़ूब पीना
कटे हैं बाज़ू, छिदा है सीना, अभी मेरा सर कटा नहीं है

ग़रीब उम्मत की बेबसी पर हुसैन का सर कटा है लेकिन
यज़ीद जैसे शक़ी के आगे हुसैन का सर झुका नहीं है

हुसैन फ़रमाएँ साथियों से, अदा करो पुर-जलाल सज्दे
है तेग़, ख़ंज़र, तबर का साया, हमारा क्या अब ख़ुदा नहीं है ?

यज़ीद दुनिया में लाख आए, सितम किए और ज़ुल्म ढाए
चराग़-ए-तौहीद फिर भी, सादिक़ ! जला है लेकिन बुझा नहीं है

ना’त-ख़्वाँ:
क़ारी रियाज़ुद्दीन

 

husain jaisa shaheed-e-aa’zam
jahaa.n me.n koi huwa nahi.n hai
chhuri ke neeche gala hai lekin
kisi se koi gila nahi.n hai

‘adoo the jab sar pe teG tole
husain sajde me.n jaa ke bole
madine waalo ! gawaah rehna
namaaz meri qaza nahi.n hai

pukaare ‘abbaas, ai sakeena !
mai.n paani laaunga KHoob peena
kaTe hai.n baazoo, chhida hai seena
abhi mera sar kaTa nahi.n hai

Gareeb ummat ki bebasi par
husain ka sar kaTa hai lekin
yazeed jaise shaqee ke aage
husain ka sar jhuka nahi.n hai

husain farmaae.n saathiyo.n se
ada karo pur-jalaal sajde
hai teG, KHanzar, tabar ka saaya
hamaara kya ab KHuda nahi.n hai ?

yazeed duniya me.n laakh aae
sitam kiye aur zulm Dhaae
charaaG-e-tauheed phir bhi, Saadiq!
jala hai lekin bujha nahi.n hai

Naat-Khwaan:
Qari Riyazuddin

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,895 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,096 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...964 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...748 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...736 views

Leave a Comment