Zubaan Par Jab Bhi Naam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai Ek Nihayat Hi Roohani Aur Pyari Naat Sharif Hai Jo Shauq-E-Madina Ko Jagati Hai. Is Haseen Kalam Ke Zariye Pyare Aaqa Ki Muhabbat Aur Shaan Ko Bade Hi Dilkash Andaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Zubaan Par Jab Bhi Naam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai |
| Poet / Writer | Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan ‘Raaz’ Niyazi (R.A.) |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Zubaan Par Jab Bhi Naam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai Lyrics In Roman
Zubaan Par Jab Bhi Naam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai
Zameen Ka Zar’ra Zar’ra Wajd Mein Har Baar Aata Hai
Mohabbat Ashq Ban Kar Chashm-E-Muztar Se Tapakti Hai
Pas-E-Parda Jo Aalam Hai Ba-Ru-E-Kaar Aata Hai
Khuda Rakhe Madine Ko Madina Aisi Basti Hai
Mujhe Saaqi To Saaqi Maikade Par Pyaar Aata Hai
Na Dil Ka Hosh Rahta Hai Na Jaan Ki Fikr Rahti Hai
Wahaan Jo Bhi Panhuch Jaaye Wahi Sarshaar Aata Hai
Maye Hubb-E-Muhammad Peene Walon Ke Ye Rutbe Hain
Qayaamat Main Utheingi Ungliyaan Maekhwaar Aata Hai
Elaahi ‘Raaz’ Ka Raaz-E-Nihaan Yun Aashkaara Ho
Kahe Aalam Ghulam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai
Zubaan Par Jab Bhi Naam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai Lyrics In Hindi
ज़ुबाँ पर जब भी नाम-ए-अहमद-ए-मुख़्तार आता है
ज़मीं का ज़र्रा ज़र्रा वज्द में हर बार आता है
मोहब्बत अश्क बन कर चश्म-ए-मुज़्तर से टपकती है
पस-ए-पर्दा जो आलम है बरू-ए-कार आता है
ख़ुदा रक्खे मदीने को मदीना ऐसी बस्ती है
मुझे साक़ी तो साक़ी मैकदे पर प्यार आता है
न दिल का होश रहता है न जाँ की फ़िक्र रहती है
वहाँ जो भी पहुँच जाए वही सरशार आता है
मय-ए-हुब्ब-ए-मोहम्मद पीने वालों के ये रुतबे हैं
क़यामत में उठेंगी उँगलियाँ मैख़्वार आता है
इलाही ‘राज़’ का राज़-ए-निहाँ यूँ आश्कारा हो
कहे आलम ग़ुलाम-ए-अहमद-ए-मुख़्तार आता है
Zubaan Par Jab Bhi Naam-E-Ahmad-E-Mukhtaar Aata Hai Lyrics In Urdu
زُباں پر جب بھی نامِ احمدِ مختارؐ آتا ہے
زَمیں کا ذَرّہ ذَرّہ وَجد میں ہر بار آتا ہے
مُحَبّت اشک بن کر چشمِ مُضطَر سے ٹَپکتی ہے
پَسِ پردہ جو عالَم ہے بَرُوعِ کار آتا ہے
خُدا رکھے مدینے کو، مدینہ ایسی بَستی ہے
مُجھے ساقی تو ساقی، مَیکَدے پر پیار آتا ہے
نہ دِل کا ہوش رہتا ہے نہ جاں کی فِکر رہتی ہے
وہاں جو بھی پَہُنچ جائے وہی سرشار آتا ہے
مَے حُبِّ محمدؐ پِینے والوں کے یہ رُتبے ہیں
قِیامَت میں اُٹھیں گی اُنگلیاں، مَے خوار آتا ہے
اِلٰہی ‘راز’ؔ کا رازِ نِہاں یوں آشکارا ہو
کہے عالَم غلامِ احمدِ مختارؐ آتا ہے