Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Ke Baat Ab Tak Bani Hovi Hai

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा ! कि बात अब तक बनी हुई है / Ye Sab Tumhaara Karam Hai, Aaqa ! Ki Baat Ab Tak Bani Hui Hai
कोई सलीक़ा है आरज़ू का
न बंदगी मेरी बंदगी है
ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

किसी का एहसान क्यूँ उठाएँ
किसी को हालात क्यूँ बताएँ
तुम्हीं से माँगेंगे, तुम ही दोगे
तुम्हारे दर से ही लो लगी है

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

तजल्लियों के कफ़ील तुम हो
मुराद-ए-क़ल्ब-ए-ख़लील तुम हो
ख़ुदा की रौशन दलील तुम हो
ये सब तुम्हारी ही रौशनी है

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

‘अमल की मेरे असास क्या है
ब-जुज़ नदामत के पास क्या है
रहे सलामत तुम्हारी निस्बत
मेरा तो इक आसरा यही है

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

‘अता किया मुझ को दर्द-ए-उल्फ़त
कहाँ थी ये पुर-ख़ता की क़िस्मत
मैं इस करम के कहाँ था क़ाबिल
हुज़ूर की बंदा-परवरी है

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

बशीर कहिए, नज़ीर कहिए
इन्हें सिराज-ए-मुनीर कहिए
जो सर-ब-सर है कलाम-ए-रब्बी
वो मेरे आक़ा की ज़िंदगी है

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

यही है, ख़ालिद ! असास-ए-रहमत
यही है, ख़ालिद ! बिना-ए-अज़मत
नबी का ‘इरफ़ान ज़िंदगी है
नबी का ‘इरफ़ान बंदगी है

ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा !
कि बात अब तक बनी हुई है

शायर:
ख़ालिद महमूद ख़ालिद नक़्शबंदी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी

 

koi saleeqa hai aarzoo ka
na bandagi meri bandagi hai
ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

kisi ka ehsaan kyu.n uThaae.n
kisi ko haalaat kyu.n bataae.n
tumhi.n se maangenge, tum hi doge
tumhaare dar se hi lo lagi hai

ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

tajalliyo.n ke kafeel tum ho
muraad-e-qalb-e-KHaleel tum ho
KHuda ki raushan daleel tum ho
ye sab tumhaari hi raushani hai

ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

‘amal ki mere asaas kya hai
ba-juz nadaamat ke paas kya hai
rahe salaamat tumhaari nisbat
mera to ik aasra yahi hai

ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

‘ata kiya mujh ko dard-e-ulfat
kahaa.n thi ye pur-KHata ki qismat
mai.n is karam ke kahaa.n tha qaabil
huzoor ki banda-parwari hai

ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

basheer kahiye, nazeer kahiye
inhe.n siraaj-e-muneer kahiye
jo sar-ba-sar hai kalaam-e-rabbi
wo mere aaqa ki zindagi hai

ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

yahi hai, KHaalid ! asaas-e-rahmat
yahi hai, KHaalid ! bina-e-azmat
nabi ka ‘irfaan zindagi hai
nabi ka ‘irfaan bandagi hai

ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

Poet:
Khalid Mahmood Khalid Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri
हिन्दी
ENG

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...274 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...155 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...119 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...114 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...110 views

Leave a Comment