Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema Naat Lyrics

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema Naat Lyrics

 

 

YE KEHTI THI GHAR GHAR ME JA KAR HALEEMA NAAT LYRICS

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema
Mere Ghar Me Khairul Waraa Aa Gaye Hai
Bade Auj Par Hai Mera Ab Muqaddar
Mere Ghar Rasool E Khuda Aa Gaye Hai

Uthi Chaarsu Rehmato Ki Ghataye
Mu-attar Mu-attar Hai Saari Fazae
Khushi Me Ye Jibreel Nagme Sunaye
Wo Sha-faye Rouze Jaza Aa Gaye Hai

Ye Zulmat Se Kehdo Andhere Uthale
Ke Hai Har Taraf Ab Ujale Ujale
Kaha Jinko Haq Ne Sirajammuneera
Mere Ghar Wo Noor E Khuda Aa Gaye Hai

Ye Sunkar Sakhee Aapka Aastaana
Hai Daaman Pasare Hue Sab Zamana
Nawaso Ka Sadqa Nigah E Karam Ho
Tere Dar Pe Tere Gada Aa Gaye Hai

Mukarrab Hai Be-Shaq Khaleelo Najee Bhi
Badi Shaan Waale Kaleemo Maseeh Bhi
Liye Arsh Ne Jinke Qadmo Ke Bouse
Wo Ummi Laqab Mustafa Aa Gaye Hai

Khuda Ke Karam Se Nakirain Aa Kar
Kahenge Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar
Utho Behre Ta’azeem Noorul Hasan Ab
Lahad Me Rasool E Khuda Aa Gaye Hai

 

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema Naat Lyrics
Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema Naat Lyrics

ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा / Ye Kehti Thi Ghar Ghar Mein Ja Kar Haleema

 

ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में ख़ैर-उल-वरा आ गए हैं
बड़े औज पर है मेरा अब मुक़द्दर
मेरे घर हबीब-ए-ख़ुदा आ गए हैं

उठी चार-सू रहमतों की घटाएँ
मु’अत्तर मु’अत्तर हैं सारी फ़ज़ाएँ
ख़ुशी में ये जिब्रील नग़्मे सुनाएँ
वो शाफ़े’-ए-रोज़-ए-जज़ा आ गए हैं

ये ज़ुल्मत से कह दो कि डेरे उठा ले
कि हैं हर तरफ़ अब उजाले उजाले
कहा जिन को हक़ ने सिराज-म्मुनीरा
मेरे घर वो नूर-ए-ख़ुदा आ गए हैं

मुक़र्रब हैं बेशक ख़लील-ओ-नजी भी
बड़ी शान वाले कलीम-ओ-मसीह भी
लिये ‘अर्श ने जिन के क़दमों के बोसे
वो उम्मी लक़ब मुस्तफ़ा आ गए हैं

है सुन कर सख़ी आप का आस्ताना
है दामन पसारे हुए सब ज़माना
नवासों का सदक़ा, निगाह-ए-करम हो
तेरे दर पे तेरे गदा आ गए हैं

ख़ुदा के करम से नकीरैन आ कर
कहेंगे ज़ियारत का मुज़्दा सुना कर
उठो बहर-ए-ता’ज़ीम, नूर-उल-हसन ! अब
लहद में रसूल-ए-ख़ुदा आ गए हैं

शायर:
नूर-उल-हसन

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
अल्हाज सिद्दीक़ इस्माईल

 

Popular Posts

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...666 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...553 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...422 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...357 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...316 views

Leave a Comment